Sunday, May 27, 2007

Jism tadpa hai khak...


Jism tadpa hai khak par tanha,
Rooh karti rahi safar tanha,

Neend walon ko kya khabar iski,
Koun jaaga hai raat bhar tanha,

Log soye the band kamron mein,
Chaand bhatka hai dar badar tanha,

Saath deta hai koun manzil tak,
Saath chalti hai rah guzar tanha,

Shehar ka shehar bujhta jaata hai,
Ja raha tha woh apne ghar tanha,

Ae gham e zindgi ke raat ke chand,
Dhoond mujhko nagar nagar tanha,

Woh jo hansta tha haal-e-dil pe kabhi tanha,
Ro pada khud ko dekh kar tanha,

Bhool kar apne husn ke aadaab,
Mere dil mein kabhi utar tanha,

Yeh aaye hazaar shehar mujhe,
Jab bhi dekha koi khandar tanha,

Is bhare shahar mein kabhi,
Anjman tha koi magar tanha...!!!

Jeevan ke safar mein...


Jeevan ke is safar mein woh lamhe mitaye kaise,
Jaate jaate yeh to bata ja main tujhko bhulaon kaise,

In jalti bujhti aankhon mein jo pyar ka diya roshan tha,
Us diye ki roshni ko ab main bujhaon kaise,

Tumhi ne bataya tha ke tanha jiya nahi karte,
Ab tanha chhod gaye ho to khud ko samjhaon kaise,

Khwahishon ki takmeel mein dukho ki sugaat liye,
Apne is jeevan ko ab main bitaon kaise..!!!

Itna toota hu ki...


Itna toota hu ki chhune se bikhar jaunga,
Ab agar aur dua doge to mar jaunga,

Pooch kar mera pata,
waqt ra-e-gah na karo,
Main to banjara hu, kya jaane kidhar jaunga,

Har taraf dhund hai,
jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanega, basti mein agar jaunga,

Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujhse kahegi main utar jaunga,

Phool reh jayenge guldan mein yaadon ki nazar,
Main to khushboo hu phizaon mein bikhar jaunga,

Itna toota hu ki chhoone se bikhar jaunga,
Ab agar aur dua doge to mar jaunga..!!!

Humne kisi ki yaad mein...


Humne kisi ki yaad mein rona hi chhod diya,
Apni Zindagi ko talaash karna hi chhod diya,

Sab beeti hui baatein bhula di humne,
Ab Dil mein maazi basana chhod diya,

Kaanto se bhar dete hai log daaman,
Humne Aangan mein Phool khilana hi chhod diya,

Kabhi na maangege kisi se bheek Mohabbat ki,
Is hi liye humne Pyaar karna hi chhod diya...!!!

Humara dil savere ka...


Humara dil savere ka sunhera jaam ho jaye,
Chirago ki tarah aankhein jale jab shaam ho jaye,

Kabhi to aasman se chand utre jaam ho jaye,
Tumhare naam ki ek khoobsurat sham ho jaye,

Ajab halat the yu soda ho gaya aakhir,
Mohabbat ki haveli jis tarah nelaam ho jaye,

Samundar ke safar mein is tarah awaz de humko,
Hawayein tez ho or kashtiyo mein shaam ho jaye,

Mujhe maloom hai iska thikana phir kaha hoga,
Parinda aasman chhune mein jab nakaam ho jaye,

Ujale apni yaado ke humare saath rehne do,
Najaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye..!!!!

Hothon pe hasi dekh li...


Hothon pe hasi dekh li,
Dil ke andar nahi dekha,
Yaaro ne mere gam ka samundar nahi dekha,

Kitni haseen hai duniya ye dekha,
Hai apne Mar mar ke jeenewalo ka manzar nahi dekha,

Sheeshe ka makaan tumne bana to liya ae dost,
Lekin waqt ke haath ka pathar nahi dekha,

Rishto ke tootne ka dard aap kya samjhe,
Vo lamha kabhi aapne jee kar nahi dekha,

Bhatke roshni ki talaash mein na jaane,
kaha kaha Afsos ki apni rooh ke andar nahi dekha...!!!

Hakikat hai yakeen kare lo...


Hakikat hai yakeen kar lo main usko bhool kar khush hun,
Mohabbat mar chuki ab to main usko bhool kar khush hun,

Badlti rut ki waja se tabiyat kuch bojhal si hai,
Yun mera haal mat poocho main usko bhool kar khush hun,

Mere lehje pe mat chonko meri aankhon mein mat jhaanko,
Yun hairat se na dakho main usko bhool kar khush hun,

Tumhe kya weham hai tum Q mujhse poochte ho,
Ae mere dost main usko bhool kar khush hun,
Tum uski yaad se keh do main usko bhool kar khush hun,

Ab to udasi saare ghar mein phelti jaati hai gum bankar,
Dar-e-deewar pe likh do main usko bhool kar khush hun...!!!

Dukh dard ke maaro...


Dukh dard ke maaro se mera zikar na karna,
Ghar jao to yaaron se mera zikar na karna,

Woh zabt na kar payenge aankhon ke samundar,
Tum raah guzaron se mera zikar na karna,

Phoolon ke nasheman mein raha hoon mein sada se,
Dekho kabhi khaaron se mera zikar na karna,

Shayad ye andhere hi mujhe raah dikhaye,
Ab chaand sitaron se mera zikar na karna,

Woh meri kahani ko galat rang na de de,
Afsaana nigaaron se mera zikar na karna,

Shayad woh mere haal pe besakhta rode,
Is baar baharon se mera zikar na karna,

Le jayenge gehrayi mein tumko bhi baha kar,
Dariya ke kinaron se mera zikar na karna,

Woh shakhs mile to use har baat batana,
Tum sirf isharon se mera zikar na karna..!!!

Dard ke baad...


Dard ke Baad Dua Na Ho jaana,
Dekh Lena, Saza Na Ho Jaana,

Mushkile To Beshumar AayenGi,
Thak Na Jaana, Juda Na Ho Jaana,

Ishq Ki Intiha Nahi Hoti,
Ishq Ki Intiha Na Ho Jaana,

Zindagi Dard Se Ibarat Hai,
Zindagi Se Khafa Na Ho Jaana,

Ek Tumhi Ko Khuda Se Manga Hai,
Tum Kahi Bewafa Na Ho Jaana..!!!

Benaam sa ye dard...


Benaam Sa Ye Dard,
Thehar Kyon Nahi Jaata,
Jo Beet Gaya Hai,
Woh Guzar Kyon Nahi Jaata,

Sab Kuch To Hai,
Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein,
Kya Baat Hai,
Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jaata,

Woh Ek Hi Chehra To,
Nahi Saare Jahan Mein,
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jaata,

Main Apni Hi Uljha Hua,
Raho Ka Tamasha,Jaate Hai Jidhar Sab,
Main Udhar Kyon Nahi Jaata,

Woh Naam Jo Na Jane Kab Se,
Na Chehra Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jaata..!!!

Ajeeb ladka hoon...


Ajeeb ladka hoon khud ko jalaana chahta hoon,
Main khud ko rakh kar kahi bhool jana chahta hoon,

Mere naseeb ki khushiya bhi kab mili mujhko,
Bas ab to umar bhar aansoo bahana chahta hoon,

Najaane kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujhe,
Koi bhi dard ho dil mein chhupana chahta hoon,

Baha baha ke ye aasnoo bikhar chuka hoon bahut,
Simat ke zaat mein ab muskurana chahta hoon,

Jise ek umar dil mein chhupa ke rakha hai,
Wo raaz aaj main sabko batana chahtaa hoon,

Wahi hai yaad jo achcha kaha hai logo ne,
Baki saare sitam bhool jana chahta hoon,

Mujhe zamane ne pathar samjh liya hai magar,
Main ek ladka hoon sabko batana chahta hoon,

Jo mujhse rooth chuki hai zamane ki khushiyaa,
To main bhi un khushiyo se rooth jaana chahta hoon,

Koi to ho jo lagaye mujhe seene se,
Kisi ko main bhi apne gum sunana chahta hoon,

Tu apne dil ke har ek dar ko khol de,
Main dard bankar tere dil mein aana chahta hoon..!!!

Agar hum kahe...


Agar Hum Kahe Aur Wo Mushkura De,
Hum Unke Liye Zindgaani Luta De,

Har ek Mod Par Hum Gamo Ko Sazaa De,
Chalo Zindagi Ko Mohabbat Bana De,

Agar Khud Ko Bhoole To Kuch Bhi Na Bhoole,
Ke Chaahat Mein Unki, Khuda Ko Bhula De,

Kabhi Gam Ki Aandhi Jinhe Choo Na Paaye,
Wafa Ke Hum Wo Nashe-man Bana De,

Qayaamat Ke Deewaane Kehte Hai Humse,
Chalo Unke Chehre Se Parda Hata De,

Saza De Sila De, Bana De Mita De,
Magar Wo Koi Faisla To Suna De,

Hai Ikhtiyaar Mein Tere To Mauj Sa Kar De,
Wo Shakhs Mera Nahi Hai Usse Mera Kar De,

Mere Khizan Kahin Kahtm Hi Nahi Hota,
Zara Si Door tak Rasta Hara Bhara Kar De,

Main Uske Shor Ko Dekhoon Wo Mera Sab,
Mujhe Charag Bana De Usse Hawa Kar De..!!!

Aankhon mein raha dil...


Aankhon Aankhon main raha dil,
Maine utar kar kabhi nahi dekha..

Kasti ke musafir
Ne samundar nahi dekha..

Jis din se chala hoon,
Meri manzil par nazar hai.
Aankho ne kabhi meet ki manzil ko nahi dekha..

Pathar mujhe kehta hai mera chahnewala,
Main mom hoon usne mujhe chhoo kar nahi dekha..

Yaaro ki mohabbat ka yaqeen kar liya maine.
Phulo mein chhupa huwa khanjar nahi dekha..

Mehboob ka ghar ho ya bazaar ki galiya,
Jo chhod diya usne mud kar nahi dekha...!!!

Friday, May 25, 2007

Ek soch...


Apni aadao se yun churana,
Pagal banana dewana banana,

Nazro mein rakhkar palke uthana,
Apni wafao ka aashiq banana,

Sambhalna woh daman woh paloo bachana,
Ajab ishq mein hai ye dil ko lubhana,

Milakar nazar se nazar dil mein rakh kar,
Aata hai khoob aapko dil ko churana,

Rakhkar wajood mein dil se ghuzar kar,
Roz apne haatho se dil ko jalana,

Banna sawarna woh khushboo lagana,
Phir har ek insan ki nazar mein aana,

Tadpana hasana rula ke jalana,
Andaz har zamane ka mujhko batana,

Paree bankar mere khawabo mein aana,
Phir raat bhar tere baho mein lamhe bitana,

"Humari" zindagi mein aakar kar do ek chirag roshan,
Ke seh nahi sakta ab main woh ghuzra zamana..!!!

Ek dil hi tha...


Ek dil hi tha jise keh sakta tha main apna,
ke ab raha na dil bhi iss jahan mein apna,

Teri pehli hi jhalak par dil haar beitha tha main apna,
ke ab tujh hi ko banaunga main apna,

kehne ko tha har ek dost apna,
ke ab raha na koi bhi jise keh sakoon main dost apna,

Mere dil mein thi ek aas ke banaunga main tujhko apna,
Magar khuda ko manzoor tha kuch aur hi ke ban saka na tu bhi apna..!!!

Ek anjana sa chehra...


Ek anjaana sa chehra,Mera chain churata hai,
Hakikat mein to nahi,Par khawaabo mein roj aata hai,

Pehchanane ki bahut koshish ke maine usse,
Par ek dhundale se aks ke siva,Kuch aur nahi nazar aata hai,

Maine chuna bhi chaha usse,kai baar aage badhkar,
Par paas aane se pehle hi,Woh bahut door chala jaata hai,

Khawabon mein khoob karta hain,Woh baatein muhjse par,
Neend khulne par har roj chala jata hai,

Ek anjaana sa chehra mera chain churata hai,
hakikat mein to nahi par khawabon mein roj aata hai..!!!

Dil se dil ka rutba...


“Dil se dil ka rutba achcha laga..
Aaj usko sochna achcha laga,

Jaate jaate aakhri lamhe mein,
Mudkar uska dekhna achcha laga,

Zindagi bhar usne jo kuch bhi kiya,
Uska har ek faisla achcha laga,

Har taraf thi bawafa logo ki bheed,
Ek wo hi bewafa achcha laga,

Wo haya ki har ada mein thi jab,
Paas reh kar bhi fasla achcha laga,

Kyo mohabbat ho gayi usse,
Kya bataye humko usme kya kya achcha laga..!!!

Chupchap kahi rakha to hai...


Chupchap kahi rakha to hai,
Ek khawaab humne dekha to hai,

Kal shaam yuhi tanha beithkar,
Tere baare mein socha to hai,

Doobte sooraj ugte chaand par,
Tere liye paigaam bheja to hai,

Behti hawa,saagar ki lehron par,
Tera hi naam likha to hai,

Aasman ko jab gaur se dekha,
Tera hi chehra dikha humko hai,

Karib ka nahi door ka sahi,
Koi ek rishta bana to TuMSE hai..!!!

Chehre par khushi...


Chehre pe khushi chhah jaati hai,
Aankhon mein suroor aa jaata hai,
Jab tum MuJhe apna kehti Ho,
Apne pe guroor Aa jaata hai,

Tum husn ki khud ek duniya Ho,
Shayad yeh tumhein maloom nahi,
Mehfil Mein Tumhare Aane Se,
Har Chiz Pe NooR Aa jaata Hai,

Hum pass se tumko kya dekhe,
JaB TuM MukaBiL Hoti HO,
BetaaB NigHaooN Ke AaGe,
Parda sa Zaroor Aa jaata Hai,

Jab Tumse MohabbaT ki Humne,
Tab jaake kahin yeh raaz khula,
Marne ka Saliqa Aata hi nahi,
Jeene ka Shaoor Aa jaata Hai...!!!

Chehra mera tha...


Chehra mera tha nigaahein uski,
Khamoshi mein bhi woh baatein uski,

Mere chehre par ghazal likhti gayi,
Sher kehti hui aankhein uski,

Shokh lamho ka pata dene lagi,
Tez hoti hui saansein uski,

Aise mousam bhi guzaare humne,
Subah jab apni thi shaam uski,

Dhayaan mein uske yeh aalam tha kabhi,
Aankh mehtaab ki yaadein uski,

Faisla mouj-e-hawa ne likha,
Aandhiya meri bahaare uski,

Neend is soch se tooti aksar,
Kis tarha kat ti hai raatein uski,

Door reh kar bhi sada rehti hai,
Mujhko thaame hui baahein uski...!!!

Chale jo do kadam saath woh...


Chale jo do kadam saath woh,
To unke saath se Pyaar ho jaye,

Thaame jo Pyaar se mera haath woh,
To apne hi haath se Pyaar ho jaye,

Jis raat aaye khawaabon mein woh,
Us suhaani raat se Pyaar ho jaye,

Jis baat mein aaye zikar unka,
To ussi baat se Pyaar ho jaye,

Jab pukaare Pyaar se mera naam,
To apne hi naam se Pyaar ho jaaye,

Hota hai agar itna khoobsurat yeh Pyaar agar,
To ae Khuda unhe bhi mere Pyaar se Pyaar ho jaye..!!!

Bhool kar bhi bhula nahi sakte...


Bhool kar bhi bhula nahi sakte,
Aur hum tujhko paa nahi sakte,

Khud pe ilzaam dhar liya humne,
Tujh pe tohmat laga nahi sakte,

Dil pe likha hai yu tera naam,
Chah kar bhi mita nahi sakte,

Usne duniya bhula kar rakh di hai,
Hum to lab bhi hila nahi sakte,

Bhool jaate hai roz wo yeh keh kar,
Hum tum ko bhula nahi sakte...!!!

Bheegi hui aankhon ka...


Bheegi hui aankhon ka yeh manzar na milega,
Ghar chhod ke mat jao kahi ghar na milega,

Phir yaad bahut aayegi zulfon ki ghani shaam,
Jab dhoop mein koi saaya sir par na milega,

Aansoo ko kabhi auz ka katra na samajhna,
Aisa tumhe chahat ka samandar nahi milega,

Is khawaab ke mahol mein bhi khawaab hai aankhein,
Jab neend bahut aayegi,bistar na milega,

Yeh soch lo ab akhri saya hai mohabbat,
Is dar se jo uthogi to koi dar na milega..!!!

Bheed mein ek ajnabi ka...


Bheed mein ek ajnabi ka saamna achcha laga,
Sabse chhup kar woh kisi ka dekhna achcha laga,

Surmayi Aankhon ke neeche phool se khilne lage,
Kehte kehte kuch kisi ka sochna achcha laga,

Baat to kuch bhi nahi thi lekin uska ek dum,
Haath ko honthon pe rakh kar rokna achcha laga,

Us rooh-e-jaan ko aaj bura kaise kahu,
Jab bhi Aaya saamne woh be-wafa achcha laga..!!

Baatein teri uttarti hai...


Baatein teri uttarti hai Dil mein Qaraar banke,
Pyar tera barasta hai mujh par phuwaar banke,

Duniya sitam kare mujh par parwaah nahi mujhe,
Pyaar tera rehta hai mere paas hisaar banke,

Jazbe sachche the jo mil gaye hum dono,
Duniya laakh aayi darmiyaan dewaar banke,

Zor koi Dil par apna ab chalta nahi hai,
Pyar mein tere reh gaye be ikhteyaar banke..!!!

Ajab apna haal hota...


Ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota,
kabhi jaan sadaqe hoti kabhi dil nisar hota,

Na maza hai dushmani mein na hai lutf dosti mein,
koi Gair Gair hota koi yaar yaar hota,

Ye maza tha dillagi ka k baraabar aag lagati,
Na tumhe qaraar hota na hame qaraar hota,

Tere waade par sitamagar abhi aur sabr karte,
Agar apni zindagi ka hame aitabaar hota..!!!

Agar jo dil ki sunoge....



Agar Jo Dil Ki Sunoge To haar jaooge,
Hum jaisa Pyar phir kahan se laooge,

Jaan dene ki baat to har koi karta hai,
Zindagi bananewala kaha se Laaoge,

Jo ek Nazar dekhoge Humhe,
To har taraf sirf hum hi ko paooge,

Yaqeen apni Mohobbat par itna hai mujhe,
Meri Chahat ko dekhoge to Laut Aaoge,

Meri Aankhon ke samandar mein doob gaye agar,
Kahin jana bhi chahoge to na Ja Paaoge...!!!