Saturday, July 21, 2007

Humne kuch is tarah..


Humne kuch Is tarha Mohabbat Ki hai ke,
Mohabbat mein Tumhari parstish Ki hai,

Tumhare bagair Zindagi ki Koi tasweer nahi,
Maine kuch is tarha Se Tumhari tamanna Ki hai,

Hamare darmiyan Hi rahe Sadiyo Ki Khamoshiya,
Maine TumSe Kuch is tarha Guftugu Ki hai,

mere Dil mein bas Jao Tum Ruh O Mohabbat bankar,
Maine Dil Ki geherai Se ye Ilteja Ki hai,

Tumhare Milne Se pehle main Khud Se naashna Tha,
Samjh Hai Pyar Ko jab Se Mohabbat ki hai,

Meri Zindagi Ki Khushiya TumSe Hi Hai Wabasta,
Maine rab Se Tumhe paane Ki Dua Ki hai,

Main Tumhe Chheen Lunga Duniya Ki rasmon Se,
Maine Tumhare Liye Zamane Se Bagawat Ki hai..!!!

Jo main chahta hu...

Jo main chahta hu woh tum bhi na chahao,
Mujhe koi kadi si saza to na dogi,

Main mohabbato mein jabar ka qail nahi,
Dil laga kar mujhko bhula to na dogi,

Jo main bata du mere mann mein kya hai,
Tum jahan mein tamasha bana to na dogi,

Darta hu main tumse raaz dil sunane mein,
Tum hansi mein baat udha tu na dogi,

Wafao k badle daga to na dogi,
Aur mujhse daman chhuda to na logi...!!!

Jab raat ki naagin...

Jab raat ki naagin dashti hai,
Nas nas mein zehar utarta hai,

Jab chaand ki kirne tezi se,
Is dil ko cheer ke aati hai,

Jab aankh ke andar hi aansoo,
Zanjeero mein bandh jaate hai,

Sab jazbo par chha jaate ho,
Tab yaad bahut tum aati ho,

Jab dard ki jhanjhar bajti hai,
Jab raqs ghamo ka hota hai,

Khawaabo ki taal pe saare dukh,
Wehshat ke saaz bajaate hai,

Gaate hai khawahish ki ley mein,
Masti mein jhoomte jaate hai,

Sab jazbon par chha jaate ho,
Tab yaad bahut tum aate ho..!!!

Wafa ka pyar ka...


Wafa ka pyar ka zazba bahut jaroori hai,
Gulab ho to mahkana bahut jaroori hai,

Kamoshiyo ki jaban har koi na samjhega,
Lahu ka aankh se bahna bahut jaroori hai,

Ab us mukam pe halat aagaye hai mere,
Sajar se shakh ka katna bahut jaroori hai,

Tujhe khabar nahi lafzon se khelne wale,
Ke guftgu mein salika bahut jaroori hai,

Bagair tere mujhe need nahi aayegi,
Ke tera khawaab mein milna bahut jaroori hai,

Dayare dost se ham fasla se gujare hai,
Akidatan yahan sazda bahut jaroori hai..!!!

Woh baat sach agar...

Woh baat sach agar hai Jo farma rahe hai aap,
Yun baar baar meri kasam kha rahe hai aap,

Bina soche samjhe aapko apna samajh liya,
Pachhtana mujhko chahiye pachhta rahe hai aap,

Kya cheez hai fareb koi seekhe aapse,
Kasti meri bhanwar mein hai chakra rahe hai aap,

Kehte the hum karenge mukabil ka Samna,
Rahi na haath mein hai to katra rahe hai aap,

Har lahar keh rahi ke bachna muhal hai,
Dariya me doobate hi chale ja rahe hai aap..!!!

Sunday, July 8, 2007

Waqt ki raftaar ke saath...

Waqt ki raftar ke saath tu chalna seekh le,
Dard seh kar iss jahan mein muskurana seekh le,

Doosro se shikwa karna,aur shikayat chhod de,
Har kisi se pyaar karna,dil lagana seekh le,

Kaanch ke tukde pade hai,zindagi ki raah pe,
Kaanch ke tukdo pe chal ke,tu bhi jeena seekh le,

Gam utha ke muskurana,kaam yeh waliyo ka hai,
Auoliya ke nashq-e-pa par,tu bhi chalna seekh le,

Kis kadar insaan aaziz hai zamane mein,
Doosro se pyaar kar aur,khud se ladna seekh le..!!!

Tum bhi guzar to jayegi...

Tum Bin guzar to jayegi zindagi,
Par main jee Na paoonga tum bin,

Hazaron sitaron ki bheed mein bhi dekhoo,
Ye chand kitna tanha hai tum bin,

Raho kahi bhi kisi ke sath bhi,
Par main hamesha udaas hoon tum bin,

Agar charagon ki roshni mein hoon main,
Par meri zindagi mein andhera hai tum bin,

Baharon ka mousam to hai gulshanon mein,
Par phoolon mein khushboo nahi hai tum bin,

Is hansi ke kehkahon mein dekhoo,
Mera dil ro raha hai tum bin,

Mera sab kuch to tum ho,
Main to Kuch bhi Nahi H00n tum bin..!!!

Tumhari yaad ke badal...

Tumhari Yaad ka Badal Phir Chhaya Hai,
Ye Weham Hai Ke Teri Justaju Ka Saya Hai,

Har Ek Muqaam Mohabbat Ko Dekh Kar Aksar,
Mere Labo Pe Tumhara hi Naam Aaya Hai,

UsiKi Aankh Se Poocho Mazaj Mousam Ka,
Wo Ek Shaks Jo Sawan Ko Dekh Aaya Hai,

Shab-e-Faraq Mujhe Aur Etbaar Na De,
Ke MaiNe Dil Ko Bahut Baar Azmaya Hai,

Khabar Nahi Ke Nageena Hai Ya Koi Moti,
Ye Ek katra Khoon Jo Palak Pe Aaya Hai,

Jo Zabt-e-Gum Tha Irshad Hosla MujhKo,
Tumhari Yaad Ne Aksar Mujhe Rulaya Hai..!!!

Tum meri aankh ke...

Tum meri aankh ke tewar na bhhula paogi,
Unkahi baat ko samjhogi to yaad aaonga,

Humne khushiyo ki tarha dukh bhi ikhatthe dekhe,
Safa e zeest ko paltogi to yaad aaonga,

Is judai mein tum undar se bikkhar jaogi,
Kisi maazoor ko dekhogi to yaad aaonga,

Isi andaaz mein hote the mukhatib mujhse,
Khat kisi or ko likhogi to yaad aonga,

Meri khushboo tumhe kholegi gulabon ki tarha,
Tum agar khudse na bologi to yaad aonga,

k mehekte hue sannaton mein,
Jab kisi phool ko choomogi to yaad aaonga,

Aaj to mehfil e yaara pe ho magroor bahut,
Jab kabhi toot k bikhrogi to yaad aaonga,

Ab to ye ushk main hoothon se chura leta hoon,
Haath se khud inhe pochhogi to yaad aaonga..!!!

Chaand se phool se...

ChaaNd se phool se ya meri zubaaN se suniye,
Har taraf aapka kissa jahaaN se suniye,

Sabko aata hai duniya ko sata kar jeena,
zindagi kya mohabbat ki duaa se suniye,

Meri awaaz parda mere chehare ka,
Main hu Khamosh jahaaN mujhko waha se suniye,

Kya zaruuri hai ki har pardaa uThaya jaaye,
Mere halat apne apne makaaN se suniye..!!!

Ek na ek roz...

Ek na ek roz to rukhsat karti,
Mujhse kitni hi mohabbat karti,

Sab rutein aake chali jaati hai,
Mausam-e-gham bhi to hijrat karti,

Mere lehje mein guroor aaya tha,
Usko hak tha ke shikayat karti,

Kuch to thi meri khata warna wo kyon,
Is tarah tark-e-rafaqat karti,

Or usse na rahi koi talab,
Bas mere pyar ki izzat karti..!!!

Dil mein ek baat hai...


Dil mein ek baat hai,
Jo main kahna chahta hoon,

Tere dil mein ek ghar banana chahta hoon,
Tujhe apni baahon mein lena chahta hoon,

Yeh ek khawaab hai,
Main is khawaab ko sach banana chahta hoon,

Teri aankh se gira har moti,
Apne honthon se churana chahta hoon,

Saal bhar se soya nehi kab se jaag raha hoon,
Ab teri godh mein sir rakh kar ab main sona chahta hoon,

Tu meri hai aur umar bhar meri rahegi,
Yeh jooth ka pehra Apni aankhon mein sajana chahta hoon,

Jaan Tum bas meri Aur sirf meri ho,
Yeh joothi tasali ab dil ko main dena chahta hoon,

Tera har khawaab pura karna chahta hoon,
Umar bhar ke liye tujhe humsafar banana chahta hoon...!!!

Sunday, July 1, 2007

Na chahte hue bhi...

Na chahte hue bhi pyaar ho gaya,
Door rahte hue bhi pyaar ho gaya,

Socha tha na banayenge use humsafar,
Na jaane kyun sarat rah ikrar ho gaya,

Na thi hasrat kabhi dekhne ki usse,
CHAND mein kyun uska aaj didar ho gaya,

Kehte the jise hum kabhi DOSTI,
Aaj kyun wo mera intezar ho gaya,

Pita tha usse bhulane ko jo jaam,
Kareeb paakar usse aaj jaam bekar ho gaya..!!!

Koi dhundla sa chehra...

Koi dhundla sa ek chehra meri aankhon mein rehta hai,
Koi bhatka sa ek JuGnOo mere khawabon mein rehta hai,

Ek manoos si awaz mujhe sone nahi deti,
Koi uljha sa ek jumla meri yaadon mein rehta hai,

Hai kiske shabnami anchal ki khushboo ab talak mujh mein,
Koi ehsaas mehka sa meri saanson mein rehta hai,

Mujhe khud par nahi kabu na main kuch bol sakta hu,
Asar yeh kiske lafzon ka meri baaton mein rehta hai,

December ki khunak raatain mujhe bechain rakhti hai,
Lamas ka aek haath ab tak meri socho mein rehta hai,

Hai dil bhi muztarib, ehsaas bhi, socho ki uljhan bhi,
Yeh kis ki aankh ka aansoo meri aankhon mein rehta hai..!!!