Hum tanhaiyo mein aksar unhe pukarte hai,
Hum chup chupke aksar unhe neharte hai,
Wo jo hame ajnabi se bhule bhaithe hai,
Aaj bhi unhe apni yaado mein sajaye rehte hai,
Door jaane se duriya agar badhti,
To kyon yeh bebas dil yu machalta milne ko,
Kyon dundta haath na milne wale andhero mein,
Kyon silta na bharne wale zhakmo ko,
Tum aao na aao...
In aankho ko intezaar tumhara kal bhi rahega,
Hum tanhaiyo mein aksar jinhe pukarte hai,
Hum chup chupke aksar jinhe neharte hai..!!!
2 comments:
tanhaeeyon main dube ek premi ki preet...
aur krindan ke swar se jhnkrit hi sahi par uske geet
barbas hi dil se pukar baithte hain
kab aaoge milne,
mujhse mere meet!
amit dost bahut shandaar likha hai
...ehsaas!
Amit ji bahut badiya ...........
Post a Comment