Wednesday, October 3, 2007

Hum to thehre...


Hum to thehre ajnabi itni mulaqato k baad,
Phir banayege ashiyana kitni mudarato k baad,

kab nazar aayegi, be daagh sabzai ki bahar,
khoon k dhabbe dhulenge kitni barsaato k baad,

The bahut be dard lamhe khatam e ishq e dard k,
Thi bahut be mehar subah merhbaan raato k baad,

Dil to chaha par shakist e dil ne muhlat na di,
Kuch gile shikwe bhi kar lete munajato k baad,

Unse jo kehne gaye the jaan sadqa ke,
Unkahi hi reh gayi wo baat sab baato k baad..!!!

Kahi ek masoom nazuk...


Kahi ek masoom nazuk si ladki,
Bahut khoobsurat magar sanwali si,

Mujhe apne khawabon ki baho mein paakar,
Kabhi neend mein muskurati to hogi,

Usi neend mein karwate badal kar,
Serhane se takiya girati ta hogi,

Wohi khawab din ki khamoshi mein aakar,
Usse mann hi mann mein lubhate to honge,

Kai saaz seene ki khamoshiyo mein,
Meri yaad se jhun jhanate to honge,

Woh besakhta dheeme dheeme suro mein,
Meri dhun mein kuch gungunati to hogi,

mujhe khat likhne wo baithi to hogi,
Magar ungliya kapkapati to hogi,

Kalam haath se chhoot jaata to hoga,
Magar kalam phir se uthati to hogi,

Mera naam apni kitabon par likh kar,
Woh Daanto mein ungli dabati to hogi,

Zuban se kabhi uff nikalti to hogi,
Badan dheeme dheeme sulagta to hoga,

Kahi k kahi pauon parte to honge,
Zameen pe dupatta leharta to hoga,

Kabhi subah ko shaam kehti to hogi,
Kabhi raat ko din banati to hogi,

Kahi ek masoom nazuk si ladki,
Bahut khoobsurat magar sanwali si..!!!

Hum tanhaiyo mein...


Hum tanhaiyo mein aksar unhe pukarte hai,
Hum chup chupke aksar unhe neharte hai,

Wo jo hame ajnabi se bhule bhaithe hai,
Aaj bhi unhe apni yaado mein sajaye rehte hai,

Door jaane se duriya agar badhti,
To kyon yeh bebas dil yu machalta milne ko,

Kyon dundta haath na milne wale andhero mein,
Kyon silta na bharne wale zhakmo ko,

Tum aao na aao...
In aankho ko intezaar tumhara kal bhi rahega,
Hum tanhaiyo mein aksar jinhe pukarte hai,
Hum chup chupke aksar jinhe neharte hai..!!!

Hum har baat jinhe...


Hum har baat jinhe dil ki batate rahe,
Woh chahte the kya humse Chhupate rahe,

Humne bahut koshish ki unhe samajh paane ki,
Wo Mere har faisle ko uljhaate rahe,

Humne pyar mein unke paana chaha Sukun,
Woh har kadam pe humko tadpate rahe,

Jagah nahi badli unke Intazaar ki,
Us jagah ab shaks naye aate rahe,

Us nazar mein kabhi ek Jhalak thi hamari,
Yehi sochkar dil behlate rahe,

Jinke dil mein jagah na Thi hamare liye,
Hum unki yaadon ko dil se lagate rahe,

Unhe bhool Paane ki ek nakam koshish mein,
Unhe yaad karke unko bhulate rahe..!!!

Hume hai mohabbat tumse...


Hume hai mohabbat tumse kaise tujhe hum bataye,
Yeh raaz bhala kaise duniya se hum chhupaye,

Eh sanam teri saadgi pe fida ho gaye hum,
Tera chehra yeh roz sapno mein aakar hume sataye,

Tumhe kya khabar koi tumhe kis qadar chahta hai,
Dil darta hai jataye to kaise hum jataye,

Dil ki har umang pe, mausam ke har rang pe,
Koi chupke se aakar tera naam kyun likh jaaye,

Tum basi hui ho humdum sirf mere sapno mein,
Par tum zindagi ki haqiqat ho kaise hum batlaye,

Mohabbat ka koi imtihaan lekar dekho meri sanam,
Tere liye Khuda ki kasam chir ke dil dikhlaye..!!!

Hum bawafa the...


Hum bawafa the isliye nazar se gir gaye,
Shayad use talash kisi bewafa ki hai,

Ek ek lamha kabhi lagta hai saal ki surat,
Kabhi lamhe ki tarha saal guzar jaata hai,

Na dekh mere sabar ki intaha kaha tak hai,
Tu sitam karle teri taqat jaha tak hai,

Wafa ki umeed jinhe hogi so hogi,
Hume to ye dekhna hai tu bewafa kaha tak hai..!!!

Chahe jaane ki kise...


Chahe jaane ki kise hasrat nahi hoti,
Magar har kisi ki aisi kismat nahi hoti,

Koi ek hota hai jo sama jaata hai Dil mein,
Har kisise to yun hi Mohabbat nahi hoti,

Pyar kharidna hai to kharido Pyaar se,
Yeh jazba hai anmol iski keemat nahi hoti,

Tum bhool gayi ho to yeh aur baat hai warna,
Bhool jaana har kisi ki aadat nahi hoti,

Unko dekhne se jo milta tha Dil ko saroor,
Ab kisi ko bhi dekhne se woh raahat nahi hoti..!!!

Lamha lamha ghar...


Lamha lamha ghar ujda hai mushkil se ehsaas hua,
Pathar aaye barson pehle seeshe toote barson baad,

Aaj hamari khaak pe duniya rone dhone baithi hai,
Phool huye hai kitne saste jaane kitne barso baad,

Bhool bhi jao kisne toda kaise toda aur kyun toda,
Dhoond rahe ho galiyo mein kya dil k tukre barsoon baad,

Dastak ki umeed laga kar kab tak yun hi jeete hum,
Kal ka wada kerne wale milne aaye barsoon baad..!!!

Apni ruswai tere naam...


Apni Ruswai Tere Naam ka charcha dekhoon,
Ek zara sher kahoon aur main kya kya dekhoon,

Neend aa jaye to kya Mehfile Barpaa dekhoon,
Aankh khul jaye to Tanhai ka Sahara dekhoon,

Shaam bhi ho gayi Dhundhla gayi Aankhein bhi Meri,
Bhoolane wale mein kab tak Tera Rasta dekhoon,

Sab Zide uski main Poori karoon har Baat sunoon,
Ek Bachche ki tarah se use Hansta dekhoon,

Mujhpe chhaa jaye wo Barasat ki Khushbu ki tarah,
Ang-Ang apna usi Rutt mein Mehekta dekhoon,

Tu Meri tarah se yakta hai Magar, Mere Habib,
Jee mein aata hai koi aur bhi Tujhsa dekhoon,

Maine jis Lamhe ko pooja hai use bas Ek baar,
Khawaab bankar Teri Aankhon mein utarta dekhoon..!!!

Apni aarzoo ka ek...


Apni aarzo ka ek jahan bana lenge,
Jis jagah kahoge tum Aashiyana bana lenge,

Dil mein agar irada ho saath saath chalne ka,
Raasta samundar k darmiyan bana lenge,

Muskilon se ladne ko hosala zaroori hai,
Patharo ko bhi jaana kehkashan bana lenge,

Khouf ka mohabbat mein dil ko ho peharo ka,
Hum jahan par thehrenge bastiya bana lenge,

Manzilon ki khawahish mein kyun idhar udhar bhatke,
Hum tumhare kadamo ko hi nishan bana lenge..!!!

Bhoolkar apne aapko...


BHOOL KAR APNE AAPKO SOOCHNA PADHATA HAI KISI K LIYE,

YE EK DASTOOR BANA LO TUM APNI ZINDAGI K LIYE,


ZINDAGI KI RAH MEIN APNE LIYE HASEEL KARNA HAI KITNA ASAAN,
KABHI SAHA BAN K DEKHOO ZINDAGI MAIN KISI K LIYE,

WOH INSAAN HI KIYA JO SOOCHE BAS APNE HI LIYE,
HAI ROOKNA BAHUT HI MUSHKIL AANSON KO KISI KI KHUSHI K LIYE,


ZAKHM PE ZAKHM KHANA SIRF MARDON KA HI KAM HUWA KARTA HAI,

NA KARNA KOI AISA AMAL JO TAKLEEF BANE KISI DIL K LIYE,



SUHANE KHAWAAB DEKHNE WALA YE SHAKS AAG AANKH BAND KIYE BAITHA HAI,

KHUSH HOTA HAI AB "AMIT" BASS AAP LOGON KI KHUSHI K LIYE...!!!

Saturday, July 21, 2007

Humne kuch is tarah..


Humne kuch Is tarha Mohabbat Ki hai ke,
Mohabbat mein Tumhari parstish Ki hai,

Tumhare bagair Zindagi ki Koi tasweer nahi,
Maine kuch is tarha Se Tumhari tamanna Ki hai,

Hamare darmiyan Hi rahe Sadiyo Ki Khamoshiya,
Maine TumSe Kuch is tarha Guftugu Ki hai,

mere Dil mein bas Jao Tum Ruh O Mohabbat bankar,
Maine Dil Ki geherai Se ye Ilteja Ki hai,

Tumhare Milne Se pehle main Khud Se naashna Tha,
Samjh Hai Pyar Ko jab Se Mohabbat ki hai,

Meri Zindagi Ki Khushiya TumSe Hi Hai Wabasta,
Maine rab Se Tumhe paane Ki Dua Ki hai,

Main Tumhe Chheen Lunga Duniya Ki rasmon Se,
Maine Tumhare Liye Zamane Se Bagawat Ki hai..!!!

Jo main chahta hu...

Jo main chahta hu woh tum bhi na chahao,
Mujhe koi kadi si saza to na dogi,

Main mohabbato mein jabar ka qail nahi,
Dil laga kar mujhko bhula to na dogi,

Jo main bata du mere mann mein kya hai,
Tum jahan mein tamasha bana to na dogi,

Darta hu main tumse raaz dil sunane mein,
Tum hansi mein baat udha tu na dogi,

Wafao k badle daga to na dogi,
Aur mujhse daman chhuda to na logi...!!!

Jab raat ki naagin...

Jab raat ki naagin dashti hai,
Nas nas mein zehar utarta hai,

Jab chaand ki kirne tezi se,
Is dil ko cheer ke aati hai,

Jab aankh ke andar hi aansoo,
Zanjeero mein bandh jaate hai,

Sab jazbo par chha jaate ho,
Tab yaad bahut tum aati ho,

Jab dard ki jhanjhar bajti hai,
Jab raqs ghamo ka hota hai,

Khawaabo ki taal pe saare dukh,
Wehshat ke saaz bajaate hai,

Gaate hai khawahish ki ley mein,
Masti mein jhoomte jaate hai,

Sab jazbon par chha jaate ho,
Tab yaad bahut tum aate ho..!!!

Wafa ka pyar ka...


Wafa ka pyar ka zazba bahut jaroori hai,
Gulab ho to mahkana bahut jaroori hai,

Kamoshiyo ki jaban har koi na samjhega,
Lahu ka aankh se bahna bahut jaroori hai,

Ab us mukam pe halat aagaye hai mere,
Sajar se shakh ka katna bahut jaroori hai,

Tujhe khabar nahi lafzon se khelne wale,
Ke guftgu mein salika bahut jaroori hai,

Bagair tere mujhe need nahi aayegi,
Ke tera khawaab mein milna bahut jaroori hai,

Dayare dost se ham fasla se gujare hai,
Akidatan yahan sazda bahut jaroori hai..!!!

Woh baat sach agar...

Woh baat sach agar hai Jo farma rahe hai aap,
Yun baar baar meri kasam kha rahe hai aap,

Bina soche samjhe aapko apna samajh liya,
Pachhtana mujhko chahiye pachhta rahe hai aap,

Kya cheez hai fareb koi seekhe aapse,
Kasti meri bhanwar mein hai chakra rahe hai aap,

Kehte the hum karenge mukabil ka Samna,
Rahi na haath mein hai to katra rahe hai aap,

Har lahar keh rahi ke bachna muhal hai,
Dariya me doobate hi chale ja rahe hai aap..!!!

Sunday, July 8, 2007

Waqt ki raftaar ke saath...

Waqt ki raftar ke saath tu chalna seekh le,
Dard seh kar iss jahan mein muskurana seekh le,

Doosro se shikwa karna,aur shikayat chhod de,
Har kisi se pyaar karna,dil lagana seekh le,

Kaanch ke tukde pade hai,zindagi ki raah pe,
Kaanch ke tukdo pe chal ke,tu bhi jeena seekh le,

Gam utha ke muskurana,kaam yeh waliyo ka hai,
Auoliya ke nashq-e-pa par,tu bhi chalna seekh le,

Kis kadar insaan aaziz hai zamane mein,
Doosro se pyaar kar aur,khud se ladna seekh le..!!!

Tum bhi guzar to jayegi...

Tum Bin guzar to jayegi zindagi,
Par main jee Na paoonga tum bin,

Hazaron sitaron ki bheed mein bhi dekhoo,
Ye chand kitna tanha hai tum bin,

Raho kahi bhi kisi ke sath bhi,
Par main hamesha udaas hoon tum bin,

Agar charagon ki roshni mein hoon main,
Par meri zindagi mein andhera hai tum bin,

Baharon ka mousam to hai gulshanon mein,
Par phoolon mein khushboo nahi hai tum bin,

Is hansi ke kehkahon mein dekhoo,
Mera dil ro raha hai tum bin,

Mera sab kuch to tum ho,
Main to Kuch bhi Nahi H00n tum bin..!!!

Tumhari yaad ke badal...

Tumhari Yaad ka Badal Phir Chhaya Hai,
Ye Weham Hai Ke Teri Justaju Ka Saya Hai,

Har Ek Muqaam Mohabbat Ko Dekh Kar Aksar,
Mere Labo Pe Tumhara hi Naam Aaya Hai,

UsiKi Aankh Se Poocho Mazaj Mousam Ka,
Wo Ek Shaks Jo Sawan Ko Dekh Aaya Hai,

Shab-e-Faraq Mujhe Aur Etbaar Na De,
Ke MaiNe Dil Ko Bahut Baar Azmaya Hai,

Khabar Nahi Ke Nageena Hai Ya Koi Moti,
Ye Ek katra Khoon Jo Palak Pe Aaya Hai,

Jo Zabt-e-Gum Tha Irshad Hosla MujhKo,
Tumhari Yaad Ne Aksar Mujhe Rulaya Hai..!!!

Tum meri aankh ke...

Tum meri aankh ke tewar na bhhula paogi,
Unkahi baat ko samjhogi to yaad aaonga,

Humne khushiyo ki tarha dukh bhi ikhatthe dekhe,
Safa e zeest ko paltogi to yaad aaonga,

Is judai mein tum undar se bikkhar jaogi,
Kisi maazoor ko dekhogi to yaad aaonga,

Isi andaaz mein hote the mukhatib mujhse,
Khat kisi or ko likhogi to yaad aonga,

Meri khushboo tumhe kholegi gulabon ki tarha,
Tum agar khudse na bologi to yaad aonga,

k mehekte hue sannaton mein,
Jab kisi phool ko choomogi to yaad aaonga,

Aaj to mehfil e yaara pe ho magroor bahut,
Jab kabhi toot k bikhrogi to yaad aaonga,

Ab to ye ushk main hoothon se chura leta hoon,
Haath se khud inhe pochhogi to yaad aaonga..!!!

Chaand se phool se...

ChaaNd se phool se ya meri zubaaN se suniye,
Har taraf aapka kissa jahaaN se suniye,

Sabko aata hai duniya ko sata kar jeena,
zindagi kya mohabbat ki duaa se suniye,

Meri awaaz parda mere chehare ka,
Main hu Khamosh jahaaN mujhko waha se suniye,

Kya zaruuri hai ki har pardaa uThaya jaaye,
Mere halat apne apne makaaN se suniye..!!!

Ek na ek roz...

Ek na ek roz to rukhsat karti,
Mujhse kitni hi mohabbat karti,

Sab rutein aake chali jaati hai,
Mausam-e-gham bhi to hijrat karti,

Mere lehje mein guroor aaya tha,
Usko hak tha ke shikayat karti,

Kuch to thi meri khata warna wo kyon,
Is tarah tark-e-rafaqat karti,

Or usse na rahi koi talab,
Bas mere pyar ki izzat karti..!!!

Dil mein ek baat hai...


Dil mein ek baat hai,
Jo main kahna chahta hoon,

Tere dil mein ek ghar banana chahta hoon,
Tujhe apni baahon mein lena chahta hoon,

Yeh ek khawaab hai,
Main is khawaab ko sach banana chahta hoon,

Teri aankh se gira har moti,
Apne honthon se churana chahta hoon,

Saal bhar se soya nehi kab se jaag raha hoon,
Ab teri godh mein sir rakh kar ab main sona chahta hoon,

Tu meri hai aur umar bhar meri rahegi,
Yeh jooth ka pehra Apni aankhon mein sajana chahta hoon,

Jaan Tum bas meri Aur sirf meri ho,
Yeh joothi tasali ab dil ko main dena chahta hoon,

Tera har khawaab pura karna chahta hoon,
Umar bhar ke liye tujhe humsafar banana chahta hoon...!!!

Sunday, July 1, 2007

Na chahte hue bhi...

Na chahte hue bhi pyaar ho gaya,
Door rahte hue bhi pyaar ho gaya,

Socha tha na banayenge use humsafar,
Na jaane kyun sarat rah ikrar ho gaya,

Na thi hasrat kabhi dekhne ki usse,
CHAND mein kyun uska aaj didar ho gaya,

Kehte the jise hum kabhi DOSTI,
Aaj kyun wo mera intezar ho gaya,

Pita tha usse bhulane ko jo jaam,
Kareeb paakar usse aaj jaam bekar ho gaya..!!!

Koi dhundla sa chehra...

Koi dhundla sa ek chehra meri aankhon mein rehta hai,
Koi bhatka sa ek JuGnOo mere khawabon mein rehta hai,

Ek manoos si awaz mujhe sone nahi deti,
Koi uljha sa ek jumla meri yaadon mein rehta hai,

Hai kiske shabnami anchal ki khushboo ab talak mujh mein,
Koi ehsaas mehka sa meri saanson mein rehta hai,

Mujhe khud par nahi kabu na main kuch bol sakta hu,
Asar yeh kiske lafzon ka meri baaton mein rehta hai,

December ki khunak raatain mujhe bechain rakhti hai,
Lamas ka aek haath ab tak meri socho mein rehta hai,

Hai dil bhi muztarib, ehsaas bhi, socho ki uljhan bhi,
Yeh kis ki aankh ka aansoo meri aankhon mein rehta hai..!!!

Friday, June 29, 2007

Teri yaadon ke bina...


Teri Yaadon ke Bina koi Lamha Guzaara Nahi,
Ek pal Nahi jab Tumhe Humne Pukaara Nahi,

Meri Nakaamiyon Ka Itna Bhi Gum Na Kijiye,
Agar aap Jeete Hai to Main Haara Nahi,

Ye Naqsh-e-Dard Kaise Utar Jaaye Chehre Se,
Maine Abhi Aapka Ghum Dil se Utaara Nahi,

Tere bin Yun Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein,
Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahi,

Kar Rakha Hai Jisne Saare Ghar Mein Ujaala,
Aansu Hai Mera ye Koi Toota Hua Taara Nahi,

Kisko Gale Laga Ke Rooye Na-Muraad Hum,
Is Bhari Duniya Mein Apna Koi Sahaara Nahi,

Mareez-e-Ishq Hai Tamannai Khudkushi Ka ab,
Gehre Hai Dil ke Zakhm,Aur Koi Chaara Nahi,

Wo aa Ke Poonch De Aansu Hamari Aankhon Se,
Itna bhi Hamare Hak Mein Naseeb Hamara Nahi..!!!

Har ghadi khud se...

Har ghadi khud se ulajhna hai mukadar mera,
Main hi kashti hoon mujhme hai samundar mera,

Ek se ho gaye mousamon ke chehre saare,
Meri aankhon se kahi kho gaya manzar mera,

Kisse poochu ke kaha gum hoon kai barso se,
Har jagah dhoondta phirta hai mujhe ghar mera,

Mudadtein ho gayi ek khawaab sunehra dekhe,
Jagta rehta hai har neend mein bistar mera,

Har ghadi khud se ulajhna hai mukkadar mera,
Main hi kashti hoon mujhie mein hai sumandar mera..!!!
Tere deedar ko taraste rahe hum,
Dard bhari raato mein sulagte rahe hum,

Teri soorat ki ek jhalak ki khatir,
Is dil ko sumbhale dar badar bhatekte rahe hum,

Teri yaadon ke sahare teri baaton ke sahare,
Din is bedard zindagi ke basar karte rahe hum,

Tum to na mile hame saari zindagi,
Lamhe apni mout ke yuhi ginte rahe hum..!!!

Teri har baat se...


Teri har baat se mohabbat ki hai,
Tere ehsaas se mohabbat ki hai,

Tu mere paas nahi hai phir bhi,
Teri yaad se mohabbat ki hai,

Main tumko kis tarha bhool sakta hoon,
Maine teri har ada se mohabbat ki hai,

Kabhi to usne bhi mujhe yaad kiya hoga,
Maine un lamhe se mohabbat ki hai,

Jinme ho sirf teri or meri baatein,
Maine un baato se mohabbat ki hai,

Or jo mehka ho sirf teri hi mohabbat se,
Maine un jazbaat se mohabbat ki hai,

Tujhse milna to ab khawaab sa lagta hai,
Maine tere intezaar se mohabbat ki hai,

Maine teri har ada se har jaza se mohabbat ki hai,
Maine sirf or sirf tumse mohabbat ki hai...!!!

Ye kya haal bana liya...


Ye Kya Haal Bana Liya Hai TumNe Apna?
Ab UsKa Bhi Ye Haal Ho Zaruri To Nahi,

Haari Hai TumNe Baazi Mohabbat Ki lekin,
Zindagi Ki Bhi Baazi Haar jao Ye Zaruri To nahi,

Us Pal Mohabbat Par Bahut Naaz Tha Tumko,
Ab Har Pal Ye Dohrao Ye Zaruri To Nahi,

Zinda Reh Kar Bhi Rasm-e-Mohabbat Ada Ho sakti Hai,
Ab Mar Kar Bhi Ye rasam Nibhao Ye Zaruri To nahi,

Kabhi Kisi Se Mohabbat na Karna aisi Nasihat Mat Diya Karna,
Jo Tere Sath hua Ho Wo mere sath Bhi HO Ye Zaruri To nahi,

Zindagi k Safar Mein Har Musafir khawaab Dekhta hai,
Ab Dost Tera Bhi Khawaab Pura Ho Ye Zaruri To Nahi..!!!

Thursday, June 21, 2007

Suno hum tum se...

Suno Hum tum se kuch kehna chahte hai,
Is tees ko is dard ko hum sehna chahte hai,

Jisko kabhi sheesha kabhi aina kehte ho tum,
Seene ke us muqaam mein hum rehna chahte hai,

Maujon ka daar nahi hai ,sahil se nahi hai pyaar,
Bas thamlo hume tum,hum behna chahte hai,

Aankhon ne baat karli, nazro ne bhedh khola,
Ab honth kaampte hai kuch kehna chahte hai,

Kya yaad karoge humko jab paas hum na honge,
Tere khawaab mein khayal mein hum rehna chahte hai,

Khayal mein tere aks se yeh sab to keh chuke hai,
Tere saamne agar ho ijazat kehna chahte hai..!!!

Koi chupke chupke kehta..


Koi Chupke Chupke Kehta Hai,

Koi Geet Likho Meri Ankhoon Par,

Koi Sher Kaho Mere Lafzo Par,

In Khushbu Jaisi Baato Par,

Chup Chaap Main Sunta Rehta Hoon,

Phir In Jheel Si Gehri Aankhoon Par,

Ek Taaza Ghazal Likh Deta Hoon,

In Phool Si Jaisi Baato Par,

Ek Sher Naya Keh Deta Hoon,

Ye Geet Ghazal Sher Mere,

Sab UsKe Pyaar Ka Darpan Hai,

Sab UsKe Roop Ka Roshan Hai,

Sab UsKi Aankh Ka Kajal Hai..!!!

Khushi to kuch bhi...


Khushi to kuch bhi nahi gam cheez hai yaaro,
Khafa gum se na hona, gum zindagi hai yaaro,

Khushi to rooth jaati hay bewafa yaar ke manind,
Kaha gum ke tarha har lamha saath rehti hai yaaro,

Rehne do na bujhao chiraag-e-gum yaaro,
Yeh mere yaar ki amaanat mere paas hi rehne do yaaro,

Na khushi ka ghar, na khushi ka makaan lagti hai,
Yeh duniya to mujhe gum ki dukaan lagti hai yaaro..!!!

Ek beqarari mein...


Ek Beqarari mein Doob kar,
Ek Masti mein Jhoom kar,
Mohabbat ne apna Izhaar,
Chaha Zindgi mein pehli baar,
Dil ne kisi ko Dil se chaha,

Khawaab bane Aarzoo ki tarha,
Umeed bani Zindgi ki tarha,
Har Ehsaas ne Iqraar chaha,
Zindgi mein pehli baar,
Dil ne kisi ko Dil se chaha,

Aitbaar ka Haath thaam kar,
Yaadon ko hamraah lekar,
Is Masoom ne Be-Ikhtiyaar chaha,
Zindgi mein pehli baar,
Dil ne kisi ko Dil se chaha,

Ek khoobsurat Etminaan ki tarha,
Tum hue Hamari DUA ki tarha,
Humne tumhe Toot kar chaha,
Zindgi mein pehli baar,
Dil ne kisi ko Dil se chaha..!!!

Chehre pe muskurahato...


Chehre pe muskurahato ka dour hai lekin,
Shayad ke raha wo bhi pareshaan ho aksar,

Ek umar hui chhod k wo shakhs gaya hai,
Par dil hai ke is baat pe hairaan hai aksar,

Ha zakhm diya hai ye magar uski saadgi,
Wo shakhs mere dard se anjaan hai aksar,

Is shehar k logo se bhi mere the maraasim,
Yuhi nahi ye shehar bhi veeraan hai aksar,

Koi to apne haal pe roye kabhi kabhi,
Kyu khud pe ye hasta hua insaan hai aksar,

Haa daam to maloom nahi par ye pata hai,
Bikta kabhi kabhi nahi imaan hai aksar,

Ae kaash k insaan ko insaan keh sakoon,
Apna bhi to yehi armaan hai aksar..!!!

Ujdi ujdi hui har...


Ujdi ujdi hui har aas lage,
Zindagi Ram ka ban-baas lage,

Tu ek behti hui nadiya ke samaan,
Tujhko dekhuN to mujhe pyaas lage,

Phir bhi chhuna use, asaan nahi,
Itni duri pe bhi,jo paas lage,

Waqt saaya sa koi chhod gaya,
Ye jo ek dard ka ehsaas lage,

Ek ek lahar kisi yug ki kathaa,
Mujhko Ganga koi itihaas lage,

Sher-o-naGhme se ye vahshat teri,
Khud teri ruh ka aflaas lage...!!!

Tum poocho aur main...

Tum Poocho Aur Main Na Bataoon Aise To Halaat Nahi,
Ek Zara Sa Dil Toota Hai Aur To Koi Baat Nahi,

KisKo Khabar Thi Sanwle Badal Bin Berse Ud Jaate Hai,
Sawan Aaya Lekin Apni Qismat Mein Barsaat Nahi,

Toot Gaya Jab Dil To Phir Ye Saans Ka Naghma Kya Maane,
Goonj Rahi Hai Kyon Shehnayi Jab Koi Baraat Nahi,

Ghum Ke Andhere Mein TujhKo Apna Saathi Kyon Samjhoon,
Tu phir Hai Mera Tu Saya Bhi Mere Saath Nahi,

Maana Jeewan Mein Aurat Ek Baar Mohabbat Karti Hai,
Lekin MujhKo Ye Bata De Kya Tu Aurat Zaat Nahi,

Khatam Hua Mera Afsana Ab Ye Aansoo Poonch Bhi Lo,
Jis Mein Koi Tara Chamke Aaj Ki Raat Wo Raat Nahi,

Mere Ghumgeen Hone Par Ehbaab Hai Youn Heraan QATEEL,
Jaise Main Pather Hoon Mere Seene Jazbaat Nahi..!!!

Tuesday, June 19, 2007

Saath chalne mein jo...


Saath chalne mein jo maza hota,
Woh hume bhi kabhi mila hota,

Yeh hi hasrat rahi hamari faqat,
Saath apne koi chala hota,

Hum bhatakte rahe the raahon mein,
koi rasta pata chala hota,

Thaam leta humain bhi badh ke koi,
Haath humko koi mila hota,

Hum ulajhte nahi zamane se,
Ek jo Humsafar mera hota,

Hum na thakte safar mein agar,
Saath apne koi chala hota..!!!

Neend mujhe raat bhar...


Neend mujhe raat bhar aati hai kam,
Shayad macharo ko bhi mil gaya hai sanam,

Har pal main sochta hun tumko,
Kya karu koi aur kaam jo nahi humko,

Mohabbat hai mujhko sirf tumse sanam,
Sach keh raha hu main tumhari kasam,

Jhoot main agar kahoon to, tu mar jaye,
Ae kash mujhko aishwarya mil jaye,

Is duniya mein, tumhi sab se haseen ho,
Main aur kahoon jhoot kitna, ke tumko yakeen ho,

Roz khawaab mein nazar aate ho tum,
Kyon mujhe neend mein bhi darate ho tum,

Dekho mujhe hai kitna pyar tumse, ab to haa karo,
Agar ab bhi hai inkaar to ye letter aage paas karo...!!!

Muqaddar chhod de jisko...


Muqaddar chhod de jisko zamana chhod deta hai,
Fizaa mein har parinda aashiyana chhod deta hai,

Samajhle lag rahi hai aapki buniyaad mein deemak,
Padosi jab kabhi nazrein milana chhod deta hai,

Zamaane bhar ki taqreeren asar mujhpar nahi karti,
Magar ek lafz tera ek fasaana chhod deta hai,

Wo zaalim bewafa harjaai hai magar fir bhi,
Nazar milte hi ek manzar suhana chhod deta hai..!!!

Mumkin ho aapse...



Mumkin ho aapse to bhula dijiye mujhe,

Pathar pe hoon lakeer, mita dijiye mujhe,

Har roz mujhse taaza shikayat hai aapko,

Main kya hoon,ek baar bata dijiye mujhe,

Mere siwa bhi hai koi aapki zindagi mein,

Apna bhi koi rang dikha dijiye mujhe,

Main kya hoon,

kis jagah hoon,

mujhe kuch khabar nahi,
Hai aap kitni dooor zara bata dijiye mujhe,


Ki maine apne zakham ki tash'heer ja baja,

Main maanta hoon jurm, saza dijiye mujhe,

Yu to shoola-e-jaan sard ho chuka,

Lekin sulag uthoon to hawa dijiye mujhe..!!!

Log har mod par...


Log har moD par ruk ruk ke sambhalte kyu hai,
Itna Darte hai to phir ghar se nikalate kyu hai,

Main na jugnu hu diya hu na koi taara hu,
Roshani vaale mere naam se jalte kyu hai,

Neend se mera talluq hi nahi baraso se,
Khawaab aa aa ke meri chhat pe Tehalte kyu hai,

MoD hota hai jawaani kaa sambhalne ke liye,
Aur sab log yahi aake phisalte kyu hai..!!!

Labon pe phool khilte...


Labon pe Phool khilte hai kisi ke Naam se pehle,
Dilo ke Deep jalte hai Chiragh-e-Shaam se pehle,

Kabhi Manzar badalne par bhi kissa chal nahi pata,
Kahani khatam hoti hai kabhi Anjaam se pehle,

Ye hi Taare Tumhaari Aankh ki Chilman mein rehte the,
Ye hi Suraj nikalta tha Tumhare Baam se pehle,

Hui hai Shaam Jangle mein Parinde laut-te honge,
Ab inko kis tarah roke Nawaah-e-Daam se pehle,

Ye saare Rang Murdaa the Tumhaari Shakl banne tak,
Ye Saare Harf Muhmal the Tumhaare Naam se pehle,

Hua hai wo agar Munsif to Ahtiyatan Hum,
Saza Tasleem karte hai kisi Ilzam se pahle..!!!

Kitni pagal thi wo...


Kitni Pagal Wo Ladki Thi,
UsKe Hoonth To Chup Rehte The,
Aankho Se Baatein Karti Thi,
Chhat Par Dhoop Mein Baithe Baithe,
Din Bhar Wo Sapne Bunti Thi...

Uljhi Yaadein Suljhane Mein,
Saari Raat Gawa Deti Thi,
Kitna Tha Thehraoo UsMe,
Lekin Wo Kitni Gehri Thi..

Ek Din Chalte Chalte USNe,
MujhSe Koi Baat Kahi Thi,
Aur Phir Raasta Ek Nahi Tha,
UsKi Manzil Aur Koi Thi..

Bilkul Waise Phool Khile Hai,
Jaise Wo Hansti Rehti Thi,
Aab To Bhool Gaya Hu Shaid,
UsPar Ek Ghazal Likhi Thi..!!!

Kabhi usse bhi meri...


Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi,
Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi,

Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai,
Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi,

Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai,
Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi,

Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar,
Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi,

Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein,
Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi,

Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai,
Mere liye apna chain bhi gawanti hogi,

Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon,
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi,

Jiske liye meri har raat hai karwat karwat,
Kabhi to use bhi neend na aati hogi,

Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan,
Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi,

Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir,
Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi..!!!

Jiska koi haasil nahi...


Jiska koi haasil nahi aisa ek khawaab dekha tha,
Raat haatho mein apne ek mahtab dekha tha,

Shab bhar khushi se jaagi rahi hai aankhain,
Aaj pehli baar apne liye use betaab dekha tha,

Ab ke bahar mein bhi woh zard sa dikhayi diya,
Khiza'n rut mein bhi jis chehre ko gulab dekha tha,

Jo sab kuch hi bahakar saath le gaya hai mera,
Dil ke dariya mein aisa ek sailaab dekha tha,

Aaj yoohi chhoti si maat pe roya hai der talak,
Ye dil jise baare baare dukhoon par shadab dekha tha,

Duniya pooche tere dil ke busti kya huwi Ghazal,
Kaha!nahi maloom,ek baar use zair-e-aab dekha tha..!!!

Is zindagi mein husn...


Is zindagi mein husn ko nikhaar chahiye,
Ujde hai jo gulshan unhe bahaar chahiye,

Deewano ko yeh chahiye had se badhe na woh,
Aur aashqo ko dil pe ikhtiyaar chahiye,

Unko nahi tasalli ye dil yaar ki taraf,
Iqraar ho gaya hai to izhaar chahiye,

Sunkar awaaz yaar ki kehte hai machal kar,
Kaafi nahi guftaar hi deedaar chahiye,

Mohabbat ke liye laazim hai kuch ashyaai khaas bhi,
Dil-o-jaan chahiye imaan-o-aitbaar chahiye,

Yeh sab to humne paaya magar ek aur khawahish hai,
Jo bewafa na ho humhe woh yaar chahiye..!!!