Chehre pe muskurahato ka dour hai lekin,
Shayad ke raha wo bhi pareshaan ho aksar,
Ek umar hui chhod k wo shakhs gaya hai,
Par dil hai ke is baat pe hairaan hai aksar,
Ha zakhm diya hai ye magar uski saadgi,
Wo shakhs mere dard se anjaan hai aksar,
Is shehar k logo se bhi mere the maraasim,
Yuhi nahi ye shehar bhi veeraan hai aksar,
Koi to apne haal pe roye kabhi kabhi,
Kyu khud pe ye hasta hua insaan hai aksar,
Haa daam to maloom nahi par ye pata hai,
Bikta kabhi kabhi nahi imaan hai aksar,
Ae kaash k insaan ko insaan keh sakoon,
Apna bhi to yehi armaan hai aksar..!!!
No comments:
Post a Comment