Tuesday, June 19, 2007

Dharti se aasman ko...

Dharti se aasman ko jo naap raha hai,
Ho kar khada zameen pe, khud kanp raha hai,

Aghosh mein lipta hai naye, saal ka manzar,
Honthon pe tabasum hai, jigar kanp raha hai,

Ha waqt-e-sehar khawaab yeh, dekha maine,
Ek zinda basher apna kafan naap raha hai,

Har aankh zamane ki nazar ho gayi logo,
Palko ka shamiyana kisse dhaap raha hai,

Khanjar bakaf hai mera, masiha mere andar,
Kyon zakhm zakhm jism mera, kanp raha hai,

Umeed ki kirne kaheen, maadoom hoyi hai,
Sooraj bhi kaheen paar-e-ufaq,hanp raha hai..!!!

No comments: