Musafir ke raste badalte rahe,
Muqaddar mein chalna tha chalte rahe,
koi phool sa haath kaandhe par tha,
Mere paoon sholo par chalte rahe,
Mere raaste mein ujala raha,
Diye uski aankhon ke jalte rahe,
Woh kya tha jise humne thukra diya,
Magar umar bhar haath malte rahe,
Mohabbat,adaawat,wafa,berukhi,
kiraye k ghar the badalte rahe,
Suna hai unhe bhi hawa lag gayi,
Hawaoon ke jo rukh badalte rahe,
Lipat ke chirago se woh so gaye,
Jo phoolon par karvat badalte rahe..!!!
Muqaddar mein chalna tha chalte rahe,
koi phool sa haath kaandhe par tha,
Mere paoon sholo par chalte rahe,
Mere raaste mein ujala raha,
Diye uski aankhon ke jalte rahe,
Woh kya tha jise humne thukra diya,
Magar umar bhar haath malte rahe,
Mohabbat,adaawat,wafa,berukhi,
kiraye k ghar the badalte rahe,
Suna hai unhe bhi hawa lag gayi,
Hawaoon ke jo rukh badalte rahe,
Lipat ke chirago se woh so gaye,
Jo phoolon par karvat badalte rahe..!!!
No comments:
Post a Comment