Kabhi bechain rehta hai kabhi betaab rehta hai,
Kabhi khud muskurata hai kabhi aansoo bahata hai,
Bata-e-dil deewane tu kise yaad karta hai,
Yeh sawan ka haseen mausam barasta hai barasne de,
Kyon apni aarzoo ko tu chhupata hai chalakne de,
Kabhi khamosh rehta hai Kabhi shikwe sunata hai,
Bata-e-dil deewane tu kise yaad karta hai,
Raha khud pe nahi kaboo yeh kaisi beqarari hai,
Nazar sooni hui meri jigar mein bhi khumaari hai,
Kabhi saanson mein basta hai kabhi jadoo jagata hai,
Bata-e-dil deewane tu kise yaad karta hai,
Siwa tere nahi koi, nahi koi,
nahi koi,
Hui jab se mujhe chahat nigah soyi nahi,
Kabhi aankhain bhigata hai kabhi sapne dikhata hai,
Bata-e-dil deewane tu kise yaad karta hai,
Duaaye de, wafaaye de, na hum ko tu jafaaye de,
Guzar jayenge had se hum, tu zulfon ki ghataaye de,
Kabhi kasame bhi khata hai kabhi phir bhool jata hai,
Bata-e-dil deewane tu kise yaad karta hai...!!!
No comments:
Post a Comment