Palkon pe aansoo ko sajaya na jaa saka,
Usko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka,
Zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera,
Ek zakham bhi usko dikhaya na jaa saka,
Jab teri yaad aayi to koshish ke bawajood,
Aankhon mein aansoon ko chupaya na jaa saka,
Kuch log zindagi mein aise bhi aaye hai,
Jinko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka,
Bas is khayaal se kahi usko dukh na ho,
Humse to haal-e-gum bhi sunaya na jaa saka,
Woh muskura raha tha mere ru-ba-ru magar,
Chehre ka rang usse chupaya na jaa saka,
Tanhaiyon ki aag mein hum jal gaye,
Magar faasla DILO ka mitaya na jaa saka..!!!

No comments:
Post a Comment