Hum apni Deewangi se jaane jaate hai,
Wo apni Be-Rukhi se pehchaane jaate hai,
Roz milte hai lekin, kuch Kehte Sunte nahi,
Mere saamne wo Meri Dhadkan badaane aate hai,
Shab-Bhar Intzaar mein Hum Taare dekha karte hai,
Sawera hone se pehle wo chand bujhane aate hai,
Bas Ek Nazar ke liye Hum Din-Bhar taraste hai,
Wo Shaam ko Gamlon ko Paani pilaane aate hai,
Mere is Haalat pe Hansna nahi MUSAFIR Tu,
Ishq mein sab ke Saamne aise Zamaane aate hai..!!!

No comments:
Post a Comment