Friday, June 29, 2007

Teri yaadon ke bina...


Teri Yaadon ke Bina koi Lamha Guzaara Nahi,
Ek pal Nahi jab Tumhe Humne Pukaara Nahi,

Meri Nakaamiyon Ka Itna Bhi Gum Na Kijiye,
Agar aap Jeete Hai to Main Haara Nahi,

Ye Naqsh-e-Dard Kaise Utar Jaaye Chehre Se,
Maine Abhi Aapka Ghum Dil se Utaara Nahi,

Tere bin Yun Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein,
Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahi,

Kar Rakha Hai Jisne Saare Ghar Mein Ujaala,
Aansu Hai Mera ye Koi Toota Hua Taara Nahi,

Kisko Gale Laga Ke Rooye Na-Muraad Hum,
Is Bhari Duniya Mein Apna Koi Sahaara Nahi,

Mareez-e-Ishq Hai Tamannai Khudkushi Ka ab,
Gehre Hai Dil ke Zakhm,Aur Koi Chaara Nahi,

Wo aa Ke Poonch De Aansu Hamari Aankhon Se,
Itna bhi Hamare Hak Mein Naseeb Hamara Nahi..!!!

Har ghadi khud se...

Har ghadi khud se ulajhna hai mukadar mera,
Main hi kashti hoon mujhme hai samundar mera,

Ek se ho gaye mousamon ke chehre saare,
Meri aankhon se kahi kho gaya manzar mera,

Kisse poochu ke kaha gum hoon kai barso se,
Har jagah dhoondta phirta hai mujhe ghar mera,

Mudadtein ho gayi ek khawaab sunehra dekhe,
Jagta rehta hai har neend mein bistar mera,

Har ghadi khud se ulajhna hai mukkadar mera,
Main hi kashti hoon mujhie mein hai sumandar mera..!!!
Tere deedar ko taraste rahe hum,
Dard bhari raato mein sulagte rahe hum,

Teri soorat ki ek jhalak ki khatir,
Is dil ko sumbhale dar badar bhatekte rahe hum,

Teri yaadon ke sahare teri baaton ke sahare,
Din is bedard zindagi ke basar karte rahe hum,

Tum to na mile hame saari zindagi,
Lamhe apni mout ke yuhi ginte rahe hum..!!!

Teri har baat se...


Teri har baat se mohabbat ki hai,
Tere ehsaas se mohabbat ki hai,

Tu mere paas nahi hai phir bhi,
Teri yaad se mohabbat ki hai,

Main tumko kis tarha bhool sakta hoon,
Maine teri har ada se mohabbat ki hai,

Kabhi to usne bhi mujhe yaad kiya hoga,
Maine un lamhe se mohabbat ki hai,

Jinme ho sirf teri or meri baatein,
Maine un baato se mohabbat ki hai,

Or jo mehka ho sirf teri hi mohabbat se,
Maine un jazbaat se mohabbat ki hai,

Tujhse milna to ab khawaab sa lagta hai,
Maine tere intezaar se mohabbat ki hai,

Maine teri har ada se har jaza se mohabbat ki hai,
Maine sirf or sirf tumse mohabbat ki hai...!!!

Ye kya haal bana liya...


Ye Kya Haal Bana Liya Hai TumNe Apna?
Ab UsKa Bhi Ye Haal Ho Zaruri To Nahi,

Haari Hai TumNe Baazi Mohabbat Ki lekin,
Zindagi Ki Bhi Baazi Haar jao Ye Zaruri To nahi,

Us Pal Mohabbat Par Bahut Naaz Tha Tumko,
Ab Har Pal Ye Dohrao Ye Zaruri To Nahi,

Zinda Reh Kar Bhi Rasm-e-Mohabbat Ada Ho sakti Hai,
Ab Mar Kar Bhi Ye rasam Nibhao Ye Zaruri To nahi,

Kabhi Kisi Se Mohabbat na Karna aisi Nasihat Mat Diya Karna,
Jo Tere Sath hua Ho Wo mere sath Bhi HO Ye Zaruri To nahi,

Zindagi k Safar Mein Har Musafir khawaab Dekhta hai,
Ab Dost Tera Bhi Khawaab Pura Ho Ye Zaruri To Nahi..!!!

Thursday, June 21, 2007

Suno hum tum se...

Suno Hum tum se kuch kehna chahte hai,
Is tees ko is dard ko hum sehna chahte hai,

Jisko kabhi sheesha kabhi aina kehte ho tum,
Seene ke us muqaam mein hum rehna chahte hai,

Maujon ka daar nahi hai ,sahil se nahi hai pyaar,
Bas thamlo hume tum,hum behna chahte hai,

Aankhon ne baat karli, nazro ne bhedh khola,
Ab honth kaampte hai kuch kehna chahte hai,

Kya yaad karoge humko jab paas hum na honge,
Tere khawaab mein khayal mein hum rehna chahte hai,

Khayal mein tere aks se yeh sab to keh chuke hai,
Tere saamne agar ho ijazat kehna chahte hai..!!!

Koi chupke chupke kehta..


Koi Chupke Chupke Kehta Hai,

Koi Geet Likho Meri Ankhoon Par,

Koi Sher Kaho Mere Lafzo Par,

In Khushbu Jaisi Baato Par,

Chup Chaap Main Sunta Rehta Hoon,

Phir In Jheel Si Gehri Aankhoon Par,

Ek Taaza Ghazal Likh Deta Hoon,

In Phool Si Jaisi Baato Par,

Ek Sher Naya Keh Deta Hoon,

Ye Geet Ghazal Sher Mere,

Sab UsKe Pyaar Ka Darpan Hai,

Sab UsKe Roop Ka Roshan Hai,

Sab UsKi Aankh Ka Kajal Hai..!!!

Khushi to kuch bhi...


Khushi to kuch bhi nahi gam cheez hai yaaro,
Khafa gum se na hona, gum zindagi hai yaaro,

Khushi to rooth jaati hay bewafa yaar ke manind,
Kaha gum ke tarha har lamha saath rehti hai yaaro,

Rehne do na bujhao chiraag-e-gum yaaro,
Yeh mere yaar ki amaanat mere paas hi rehne do yaaro,

Na khushi ka ghar, na khushi ka makaan lagti hai,
Yeh duniya to mujhe gum ki dukaan lagti hai yaaro..!!!

Ek beqarari mein...


Ek Beqarari mein Doob kar,
Ek Masti mein Jhoom kar,
Mohabbat ne apna Izhaar,
Chaha Zindgi mein pehli baar,
Dil ne kisi ko Dil se chaha,

Khawaab bane Aarzoo ki tarha,
Umeed bani Zindgi ki tarha,
Har Ehsaas ne Iqraar chaha,
Zindgi mein pehli baar,
Dil ne kisi ko Dil se chaha,

Aitbaar ka Haath thaam kar,
Yaadon ko hamraah lekar,
Is Masoom ne Be-Ikhtiyaar chaha,
Zindgi mein pehli baar,
Dil ne kisi ko Dil se chaha,

Ek khoobsurat Etminaan ki tarha,
Tum hue Hamari DUA ki tarha,
Humne tumhe Toot kar chaha,
Zindgi mein pehli baar,
Dil ne kisi ko Dil se chaha..!!!

Chehre pe muskurahato...


Chehre pe muskurahato ka dour hai lekin,
Shayad ke raha wo bhi pareshaan ho aksar,

Ek umar hui chhod k wo shakhs gaya hai,
Par dil hai ke is baat pe hairaan hai aksar,

Ha zakhm diya hai ye magar uski saadgi,
Wo shakhs mere dard se anjaan hai aksar,

Is shehar k logo se bhi mere the maraasim,
Yuhi nahi ye shehar bhi veeraan hai aksar,

Koi to apne haal pe roye kabhi kabhi,
Kyu khud pe ye hasta hua insaan hai aksar,

Haa daam to maloom nahi par ye pata hai,
Bikta kabhi kabhi nahi imaan hai aksar,

Ae kaash k insaan ko insaan keh sakoon,
Apna bhi to yehi armaan hai aksar..!!!

Ujdi ujdi hui har...


Ujdi ujdi hui har aas lage,
Zindagi Ram ka ban-baas lage,

Tu ek behti hui nadiya ke samaan,
Tujhko dekhuN to mujhe pyaas lage,

Phir bhi chhuna use, asaan nahi,
Itni duri pe bhi,jo paas lage,

Waqt saaya sa koi chhod gaya,
Ye jo ek dard ka ehsaas lage,

Ek ek lahar kisi yug ki kathaa,
Mujhko Ganga koi itihaas lage,

Sher-o-naGhme se ye vahshat teri,
Khud teri ruh ka aflaas lage...!!!

Tum poocho aur main...

Tum Poocho Aur Main Na Bataoon Aise To Halaat Nahi,
Ek Zara Sa Dil Toota Hai Aur To Koi Baat Nahi,

KisKo Khabar Thi Sanwle Badal Bin Berse Ud Jaate Hai,
Sawan Aaya Lekin Apni Qismat Mein Barsaat Nahi,

Toot Gaya Jab Dil To Phir Ye Saans Ka Naghma Kya Maane,
Goonj Rahi Hai Kyon Shehnayi Jab Koi Baraat Nahi,

Ghum Ke Andhere Mein TujhKo Apna Saathi Kyon Samjhoon,
Tu phir Hai Mera Tu Saya Bhi Mere Saath Nahi,

Maana Jeewan Mein Aurat Ek Baar Mohabbat Karti Hai,
Lekin MujhKo Ye Bata De Kya Tu Aurat Zaat Nahi,

Khatam Hua Mera Afsana Ab Ye Aansoo Poonch Bhi Lo,
Jis Mein Koi Tara Chamke Aaj Ki Raat Wo Raat Nahi,

Mere Ghumgeen Hone Par Ehbaab Hai Youn Heraan QATEEL,
Jaise Main Pather Hoon Mere Seene Jazbaat Nahi..!!!

Tuesday, June 19, 2007

Saath chalne mein jo...


Saath chalne mein jo maza hota,
Woh hume bhi kabhi mila hota,

Yeh hi hasrat rahi hamari faqat,
Saath apne koi chala hota,

Hum bhatakte rahe the raahon mein,
koi rasta pata chala hota,

Thaam leta humain bhi badh ke koi,
Haath humko koi mila hota,

Hum ulajhte nahi zamane se,
Ek jo Humsafar mera hota,

Hum na thakte safar mein agar,
Saath apne koi chala hota..!!!

Neend mujhe raat bhar...


Neend mujhe raat bhar aati hai kam,
Shayad macharo ko bhi mil gaya hai sanam,

Har pal main sochta hun tumko,
Kya karu koi aur kaam jo nahi humko,

Mohabbat hai mujhko sirf tumse sanam,
Sach keh raha hu main tumhari kasam,

Jhoot main agar kahoon to, tu mar jaye,
Ae kash mujhko aishwarya mil jaye,

Is duniya mein, tumhi sab se haseen ho,
Main aur kahoon jhoot kitna, ke tumko yakeen ho,

Roz khawaab mein nazar aate ho tum,
Kyon mujhe neend mein bhi darate ho tum,

Dekho mujhe hai kitna pyar tumse, ab to haa karo,
Agar ab bhi hai inkaar to ye letter aage paas karo...!!!

Muqaddar chhod de jisko...


Muqaddar chhod de jisko zamana chhod deta hai,
Fizaa mein har parinda aashiyana chhod deta hai,

Samajhle lag rahi hai aapki buniyaad mein deemak,
Padosi jab kabhi nazrein milana chhod deta hai,

Zamaane bhar ki taqreeren asar mujhpar nahi karti,
Magar ek lafz tera ek fasaana chhod deta hai,

Wo zaalim bewafa harjaai hai magar fir bhi,
Nazar milte hi ek manzar suhana chhod deta hai..!!!

Mumkin ho aapse...



Mumkin ho aapse to bhula dijiye mujhe,

Pathar pe hoon lakeer, mita dijiye mujhe,

Har roz mujhse taaza shikayat hai aapko,

Main kya hoon,ek baar bata dijiye mujhe,

Mere siwa bhi hai koi aapki zindagi mein,

Apna bhi koi rang dikha dijiye mujhe,

Main kya hoon,

kis jagah hoon,

mujhe kuch khabar nahi,
Hai aap kitni dooor zara bata dijiye mujhe,


Ki maine apne zakham ki tash'heer ja baja,

Main maanta hoon jurm, saza dijiye mujhe,

Yu to shoola-e-jaan sard ho chuka,

Lekin sulag uthoon to hawa dijiye mujhe..!!!

Log har mod par...


Log har moD par ruk ruk ke sambhalte kyu hai,
Itna Darte hai to phir ghar se nikalate kyu hai,

Main na jugnu hu diya hu na koi taara hu,
Roshani vaale mere naam se jalte kyu hai,

Neend se mera talluq hi nahi baraso se,
Khawaab aa aa ke meri chhat pe Tehalte kyu hai,

MoD hota hai jawaani kaa sambhalne ke liye,
Aur sab log yahi aake phisalte kyu hai..!!!

Labon pe phool khilte...


Labon pe Phool khilte hai kisi ke Naam se pehle,
Dilo ke Deep jalte hai Chiragh-e-Shaam se pehle,

Kabhi Manzar badalne par bhi kissa chal nahi pata,
Kahani khatam hoti hai kabhi Anjaam se pehle,

Ye hi Taare Tumhaari Aankh ki Chilman mein rehte the,
Ye hi Suraj nikalta tha Tumhare Baam se pehle,

Hui hai Shaam Jangle mein Parinde laut-te honge,
Ab inko kis tarah roke Nawaah-e-Daam se pehle,

Ye saare Rang Murdaa the Tumhaari Shakl banne tak,
Ye Saare Harf Muhmal the Tumhaare Naam se pehle,

Hua hai wo agar Munsif to Ahtiyatan Hum,
Saza Tasleem karte hai kisi Ilzam se pahle..!!!

Kitni pagal thi wo...


Kitni Pagal Wo Ladki Thi,
UsKe Hoonth To Chup Rehte The,
Aankho Se Baatein Karti Thi,
Chhat Par Dhoop Mein Baithe Baithe,
Din Bhar Wo Sapne Bunti Thi...

Uljhi Yaadein Suljhane Mein,
Saari Raat Gawa Deti Thi,
Kitna Tha Thehraoo UsMe,
Lekin Wo Kitni Gehri Thi..

Ek Din Chalte Chalte USNe,
MujhSe Koi Baat Kahi Thi,
Aur Phir Raasta Ek Nahi Tha,
UsKi Manzil Aur Koi Thi..

Bilkul Waise Phool Khile Hai,
Jaise Wo Hansti Rehti Thi,
Aab To Bhool Gaya Hu Shaid,
UsPar Ek Ghazal Likhi Thi..!!!

Kabhi usse bhi meri...


Kabhi usse bhi meri yaad satati hogi,
Apni aankhon mein mere khawaab sajati hogi,

Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai,
Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi,

Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai,
Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi,

Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar,
Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi,

Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein,
Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi,

Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai,
Mere liye apna chain bhi gawanti hogi,

Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon,
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi,

Jiske liye meri har raat hai karwat karwat,
Kabhi to use bhi neend na aati hogi,

Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan,
Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi,

Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir,
Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi..!!!

Jiska koi haasil nahi...


Jiska koi haasil nahi aisa ek khawaab dekha tha,
Raat haatho mein apne ek mahtab dekha tha,

Shab bhar khushi se jaagi rahi hai aankhain,
Aaj pehli baar apne liye use betaab dekha tha,

Ab ke bahar mein bhi woh zard sa dikhayi diya,
Khiza'n rut mein bhi jis chehre ko gulab dekha tha,

Jo sab kuch hi bahakar saath le gaya hai mera,
Dil ke dariya mein aisa ek sailaab dekha tha,

Aaj yoohi chhoti si maat pe roya hai der talak,
Ye dil jise baare baare dukhoon par shadab dekha tha,

Duniya pooche tere dil ke busti kya huwi Ghazal,
Kaha!nahi maloom,ek baar use zair-e-aab dekha tha..!!!

Is zindagi mein husn...


Is zindagi mein husn ko nikhaar chahiye,
Ujde hai jo gulshan unhe bahaar chahiye,

Deewano ko yeh chahiye had se badhe na woh,
Aur aashqo ko dil pe ikhtiyaar chahiye,

Unko nahi tasalli ye dil yaar ki taraf,
Iqraar ho gaya hai to izhaar chahiye,

Sunkar awaaz yaar ki kehte hai machal kar,
Kaafi nahi guftaar hi deedaar chahiye,

Mohabbat ke liye laazim hai kuch ashyaai khaas bhi,
Dil-o-jaan chahiye imaan-o-aitbaar chahiye,

Yeh sab to humne paaya magar ek aur khawahish hai,
Jo bewafa na ho humhe woh yaar chahiye..!!!

Ek dilwalo ki basti...


Ek dilwalo ki basti thi,

Jaha chand or suraj rahte the,

Kuch suraj mann ka pagal tha,

Kuch chand bhi shok or chanchal tha,

Basti basti phirte the,

Har pal haste rehte the,

Phir ek din dono rooth gaye,

Or saare sapne toot gaye,

Ab chand bhi us waqt aata hai,

suraj sab so jaata hai,

Badal sabse kehte hai,

Suraj uljh sa rehta hai or aag Ugalta rehta hai,

chand k saath sitaare hai par suraj tanha rahta hai....!!!

Ek baat batau raaz ki...


EK BAAT BATAAU RAAZ KI,

KARO US LADKI SE AASHIQI,

JIS K CHEHRE PAR HO SAADGI,

SAANSO MEIN HO TAZGI,

CHANDNI HO CHAND KI,

RANI HO RAAT KI,

KALI HO PARIYO KE BAAG KI,

KHUSHBOO HO GULAB KI,

LAKEER HO AAP KE HAATH KI,

PARWA NA KARE KISI BAAT KI,

BAATIEN KARE PYAR KI,

NAZUK HO MIZAJ KI,

ACHCHI HO IKHLAQ KI,

KHIDMAAT KARE MAA BAAP KI,

AUR KAHE MAIN AAPKI HOON SIRF AAPKI...!!!

Dhoop mein niklo...

Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho,
Zindgi kya hai kitaabo ko hata kar dekho,

Woh sitara hai chamakne do yoon hi aankhoon mein,
Kya zaroori hai isse jism bana kar dekho,

Pathro mein bhi zuban hoti hai dil hote hai,
Apne gharo ki daro diwaar saja kar dekho,

Fasla nazro ka dhoka bhi to ho sakta hai,
Woh mile ya na mile haath badha kar dekho..!!!

Dharti se aasman ko...

Dharti se aasman ko jo naap raha hai,
Ho kar khada zameen pe, khud kanp raha hai,

Aghosh mein lipta hai naye, saal ka manzar,
Honthon pe tabasum hai, jigar kanp raha hai,

Ha waqt-e-sehar khawaab yeh, dekha maine,
Ek zinda basher apna kafan naap raha hai,

Har aankh zamane ki nazar ho gayi logo,
Palko ka shamiyana kisse dhaap raha hai,

Khanjar bakaf hai mera, masiha mere andar,
Kyon zakhm zakhm jism mera, kanp raha hai,

Umeed ki kirne kaheen, maadoom hoyi hai,
Sooraj bhi kaheen paar-e-ufaq,hanp raha hai..!!!

Monday, June 18, 2007

Dard kaisa bhi ho...


Dard kaisa bhi ho aankh nam na karo,
Raat kaali sahi koi gham na karo,

Ek sitara bano jagmagate raho,
Zindagi mein sada muskarate raho,

Baant“ni hai agar baant lo har khushi,
Gham na zahir karo tum kisi par kabhi,

Dil ki gehrai mein ghum chupate raho,
Zindagi mein sada muskarate raho,

Ashk anmol hai kho na dena kahi,
In ki har boond hai motiyo se haseen,

In ko har aankh se tum churate raho,
Zindagi mein sada muskarate raho,

Faasle kam karo dil milate raho,
Zindagi mein sada muskarate raho..!!!

Wednesday, June 13, 2007

wo apne chehre mein...


Wo apne chehre mein sau aaftaab rakhte hai,
Isi liye to wo rukh pe nakaab rakhte hai,

Wo paas baithe to aati hai khushbu,
Wo apne hothon pe khilta gulab rakhte hai,

Har ek waqt mein tumhi tum ho jaan-e-mohabbat,
Hum apne dil mein kuch aisi kitab rakhte hai,

Jahan-e-ishq mein Sohni kahi dikhayi de,
Hum apni aankh mein kitne Chenab(i.e. in all directions) rakhte hai,

Wo apne chehre mein sau aaftaab rakhte hai,
Isi liye to wo rukh pe nakaab rakhte hai...!!!

Tumhe hum dil mein...


Tumko hum dil mein basa lenge tum aao to sahi,
Saari duniya se chhupa lenge tum aao to sahi,

Ek waada karo ab humse na bhichhadoge kabhi,
Naaz hum saare uTha lenge tum aao to sahi,

Yun to jis simt nazar uThati hai taarikhi hai,
Pyaar ke deep jalaa lenge tum aao to sahi,

IKhtalaafaat bhi miT jaayenge rafta rafta,
Jis tarah hoga nibha lenge tum aao to sahi,

Dil ki viraani se ghabra ke na muh ko modo,
Bazm ye phir se saja lenge tum aao to sahi,

Raah taarikh hai aur door hai manzil lekin,
Dard ki shamaye jalaa lenge tum aao to sahi...!!!

Titli jo ek mujkho...


Titli jo ek mujhko mili thi kitaab mein,
Wo apna aks chhod gayi mere khawaab mein,

Ab tak woh mere zehen mein uljha sawaal hai,
Shaamil rahi jo har ghadi mere nisaab mein,

Aankhon mein neend hai na koi khawaab door tak,
Rehte hai hum bhi aaj kal waise azaab mein,

Milta hai gardisho se gale lag ke chaand bhi,
Aaye the simat ke faasle kitne saraab mein,

Aakhir meri wafa ka mujhe kya sila mila,
Likha na ek harf bhi usne jawaab mein..!!!

Teri chah mein had se...


Teri Chah mein had se guzar jaoonga Ek Din,
Pyar hota hai kya ye dikhlaoonga Ek Din,

Teri Sangdili ko sehte sehte,
Main apni Jaan se guzar jaoonga Ek Din,

Apni chahte saari Tujhpar Waar ke,
Pyar karna Tujhe bhi sikhaoonga Ek Din,

Jee na payegi Tu bhi hoke Juda Mujhse,
Aisa Pyar Tujhse kar jaoonga Ek Din,

Andhero mein dhoondti reh jayegi Mujhko,
Aisi Be-Rukhi dikhlaoonga Ek Din,

Kho kar Mujhko bahut pachtayegi Sanam Tu,
Wafa aisi Tujhse kar jaoonga Ek Din,

Aisi Deewangi se Chahoonga Tujhko,
Bhool jaogi Tum bhi saara Jahan Ek Din,

Jaan Teri bhi Labon par aajayegi,
Ban ke Khaak jab main Mitti mein mil jaoonga Ek Din..!!!

Raat bhar mere pehloo...


Raat Bhar Mere Pehloo Mein Basera KarKe,
Wo Ja Rahe Hai Ab Sawera KarKe,

MujhSe Rooth Jaye Wo To Kuch Aisa Lage,
Chal Diya Ho Ghar mein Koi Andhera Karke,

Roz Nikhaarta Hoon Mein Rooh Ko Apni,
Tere Pyaar Ki Dhoop Se Sunehra KarKe,

Roz Satate Hai Aur Manate Hai Tujhe,
Saamne Apni Aankhon Ke Tera Chehra KarKe,

Ajeeb Shakhs Hai Khushiyo Ka Jahan Dhoondta Hai,
Apni Har Ek Khushi Ko Mera KarKe..!!!

Friday, June 8, 2007

Pyar ke deep jalaanewale...


Pyar ke deep jalaane wale kuch kuch pagal hote hai,
Apni jaan se jaane wale kuch kuch pagal hote hai,

Dil k gehre zakhm mile to mujhko kuch ehsaas huwa,
In pagalo ko samjhane wale kuch kuch pagal hote hai,

Jaan se pyare logo se bhi kuch kuch parda lazami hai,
Saari baate batane wale kuch kuch pagal hote hai,

Khawaabon mein bhi anmol milan k sapne dekhte rehte hai,
Neeendo mein muskrane wale kuch kuch pagal hote hai,

Is chhoti nagri mein humne yehi humesha dekha hai,
Sacchhi baate batane wale kuch kuch pagal hote hai,

Pyar jinhe ho jaye unko chain bhala kab milta hai,
Aankh bhar ashk bahane wale kuch kuch pagal hote hai,

Apni zaat ke ujde gulshan se wo pyar kaha karte hai,
Auro ko mehkane wale kuch kuch pagal hote hai...!!!

Pyar karta hoon main...


Pyar karta hoon main tumse,
Izhar karna itna asaan to nahi,

Sumajhta hu mushkil ko par,
Sumjhana itna asaan to nahi,

Dil mein to bahut kuch hai par,
Labon pe lana itna asaan to nahi,

Khud wo sub dukh jante hue,
Dosron ka dil dukhana itna asaan to nahi,

Apno ke zakhm dil mein chupa ke,
Dil ka dhadkte rehna itna asaan to nahi,

Umeedein to bahut hai shayad par,
In umeedon ka poora hona itna asaan to nahi..!!!

Pyar ek phool hai...


Pyar ek phool hai us phool ki khushboo tum ho,
Mera chehra meri aankhen meri ruh tum ho,

Door ho mujhse magar paas nazar aati ho,
Mera jazba mera ehsaas nazar aati ho,
Zindagi banke jo chhaya hai wo jadu tum ho,
Pyar ek phool hai us phool ki khushboo tum ho,

Mere paas nahi ho mujhe iska gum hai,
Tum khayaalon mein to aaye yehi kya kam hai,
Meri tanhai ka tapka huwa aansu tum ho,
Pyar ek phool hai us phool ki khushboo tum ho,

Jab bhi tanhai mein aahat koi pata hoon,
Ye samajh kar main hawaon se lipat jaata hoon,
Jaise mere liye khole huwe baahe tum ho,
Pyar ek phool hai us phool ki khushboo tum ho...!!!

Phoolo se achchi tumhari...


Phoolo Se Achhi Tumhari Khushboo,
Kaliyo Se Pyari Tumhari Muskaan,

Sitaaro Sa Chamakta Hua Chehra,
Koyal Si Meethi Tumhari Zabaan,

Chaand Bhi Chhup Jaye Yeh Keh Ke,
Aaasmaan Pe Ab Kya Mera Kaam,

Chandni Tu Aa Nikli Zameen Se,
Kaisi Hai Yeh Qudrat Ki Shaan,

Fursat Se Banaya HoGa Rab Ne,
Farishto Ka Nahi Yeh Kaam,

Mitti Se Bane Hai Hum Sab,
Us Mein Sone Ko Milaaya Hoga,

Hooron ne Bhi Hasrat Se Dekha Hoga,
Pariyo Se Sundar Yeh Insaan,

Wah re Qudrat teri shan,
Wah re Qudrat teri shan..!!!!!

Pal bhar mein tamam...


Pal bhar mein tamam umar ki soche badal jaati hai,
Jin raho par chalte hai wohi, rahe badal jaati hai,

Karne ko kiya nahi karte log mohabbat mein,
Sirf hamare liye hi kyun? rasme badal jaati hai,

Woh aisa hai k uska naam sunne k tasawwur se hi,
Hamari tamaam tar sAatein badal jaati hai,

Sochta hoon jaane kaise? keh paoonga main usse,
Milta hoon to dil ki saari baatein badal jaati hai,

Chahe "Manzil" "Dushwar" ho aur "Door" bhi.
Humsafar us jaisa ho to musaftein badal jaati hai,

Yun to "Raat" ka alam haseen hota hai, madhosh bhi,
Magar"chand"dekhoon to meri raatein badal jaati hai,

Mat chaho,k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki,
Yeh na ho log kahe, jald hi adatein badal jaati hai..!!!

Na tumhe hosh rahe...


Na Tumhe Hosh Rahe Or Na Mujhe Hosh Rahe,
Is Qadar Toot Ke Chaho, Mujhe Pagal Kar Do,

Tum Hatheli Ko Mere Pyar Ki Mehendi Se Rango,
Apni Aankhon Mein Mere Naam Ka Kajal Kar Do,

Ishq ke Saaye Mein Mere Khawaab Dhak Uthenge,
Mere Chehre Pe Chamakta Huwa Aanchal Kar Do,

Dhoop Hi Dhoop Main Hon Toot Ke Barso Mujh Par,
Is Qadar Barso,Meri Rooh Mein Jal Thal Kar Do,

Jaise Shehero Mein Har Shaam Hawa Chalti Hai,
Is Tarah Mujh Mein Chalo Or Mujhe Thal Kar Do,

Tum Chupa Lo Mera Dil, Oat Mein Apne Dil Ki,
Or Mujhe Meri Nigaaho Se Bhi Aujhal Kar Do,

Masala Hoon To Nigahein Na Churao Mujh Se,
Apni Chahat Se, Tawajja Se Mujhe Hal Kar Do,

Apne Gham Se Kaho Har Waqt Mera Sath Rahe,
Ek Ehsaan Karo UsKo Musalsal Kar Do...!!!

Mujhse mat pooch ki...


Mujhse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
Teri tasveer thi jo tujhse chhupa li maine,

Jispe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
Apne maathe ki woh lakeer mita li maine,

Ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
Teri yaadon se har ek saans saja li maine,

Jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
Bas wohi ek ghazal sabse chhupa li maine...!!!

Mujhse khafa hoke chup...


MujhSe Khafa HoKe Chup Chaap Sa Beith Jaati Hai,
Khud Bhi Jalti Hai Mujhe Bhi Saath Jalaati Hai,

UsKo Manate Huye Main Khud Hi Rooth Jaau To,
Phir Mere Paas AaKe Raat Bhar Mujhe Manaati Hai,

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deti Hai,
Phir Mere Seene Se Lag Ke Khud Hi Gungunaati Hai,

Us Ek Pal Ke Sadqe Mein Meri To Har Khushi Qurbaan,
Jab Wo Sher Kehti Huyi Dheere Se Muskuraati Hai,

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Pyara Lagta Hai,
Meri Baho Mein Aate Hoye Jab Wo Bahut Sharmaati Hai,

Meri Yaad Ke Mousam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhti Hai,
Beete Huye Har Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhe Bataati Hai,

Mere Bager Kaise Guzri UsKi Kal Ki Raat,
UsKi Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai,

Is Shehar Ke Sawan Mein Baarish Ki Raat Jab Aati Hai,
Be Ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bahut Aa Jaati Hai..!!!

Mujhe tu apna bana ya...


Mujhko tu apna bana ya na bana teri khushi,
Tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai,

Mere hisse mein koi jaam na aaye na sahi,
Teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai,

Dekh kar log mujhe naam tera lete hai,
Is pe main khush hoon mohabbat ka yeh anjaam to hai,

Woh sitamgar hi sahi dekh ke usko lekin.
Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai,

Tu kahi bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai,
Tere haathon ki lakiro mein mera naam to hai..!!!

Kabhi chanda ki nagri...


Kabhi chanda ki nagri se koi paigaam aaye to,
Kabhi taaron ke honthon par kisi ka naam aaye to,
Kabhi taareek shab mein koi jugnu jagmagata hai,
Mujhe wo yaad aata hai...

Kabhi jab saans se uthta dhuwa mehsus hota ho,
Ajab si aanch pe haar ki low mehsoos hota ho,
Tab uske pyar ke sawan mein tan man bheeg jata hai,
Mujhe wo yaad aata hai...

Kabhi raaton ko uth uth kar bahut bechain hota hoon,
Agar jo letna chahe to bas takiye bhigota hoon,
Koi ruthi hui sab neend ki pariya bulata hai,
Mujhe wo yaad aata hai...

Kabhi jab titliyo ke pankh bhi be-rang ho jaye,
Meri saari bahare bhi fiza ke sang ho jaye,
Tabhi ek aash ka panchhi dar-e-dil khatkatata hai,
Mujhe wo yaad aata hai...

Wo jiske dhayan ki kirne hame har subah jagati hai,
Usiki yaad ke saye mein shaame muskurati hai,
Mujhe chhu ke jo har shab sang se heera banata hai,
Mujhe wo yaad aata hai..!!!

Muddat se mera dil...


Muddat se mera dil hai ke abaad nahi hai,
Honthon par magar aaj bhi fariyaad nahi hai,

Aata hai khayaalon mein mere ek hi chahra,
Bas iske siwa kuch bhi mujhe yaad nahi hai,

Phirte hai sabhi log yaha sehme hue se,
Is shahar mein jaise koi azad nahi hai,

Dekha hai ujadte hue kitne hi gharo ko,
Hai koun jo is ishk mein barbaad nahi hai,

Udne ko parinde sabhi par tol rahe hai,
Lagta hai chaman mein koi sayad nahi hai,

Dil jiski judai mein dhadkta hai saari shaam,
Wo aam sa chahra hai pari zaad nahi hai,

Ek lehar si uthti hai aaj bhi dil mein,
Is lehar ke uthne ka sabab yaad nahi hai..!!!

Mil hi jayega kabhi...


Mil hi jayega kabhi dil ko yaqeen rehta hai,
Wo isi shehar ki galiyo mein kahi rehta hai,

Jiski saanso se mehakte the daar-o-baam tere,
Aey makaan bole kaha ab woh makeen rehta hai,

Ek zamana tha k sub ek jagah rehte the,
Aur ab koi kahi aur koi kahi rehta hai,

Roz milne par bhi lagta tha k jug beet gaye,
Ishq mein waqt ka ehsaas nahi rehta hai,

Dil farsooda to hua dekh k usko lekin,
Umer bhar koun jawan koun haseen rehta hai..!!!

Meri khamosh mohabbat ka...


Meri Khamosh Mohabbat Ka,Itna To Sila Diya Hota,
Kabhi Ek Nazar Chahat Se,Dekh Hi Liya Hota,

Hum Bhi Tujhe Ishq-0-Mohabbat Se Aashna Karte,
Bas Ek Baar Apne Dil Mein,Aane To Diya Hota,

Kya Jaata Tumhara Bas,Hame bHi Dil Se Khushi Milti,
Apni Zindagi Ki Kitaab Mein,Naam Hamara Bhi Likh Liya Hota,

Dekh Lete Zara Ghor Se Shayad,Tumhare Haath Ki Lakiron Mein,
Hamari Kismat Ka Bhi Diya Hota,
Meri Khamosh Mohabbat Ka,Itna To Sila Diya Hota..!!!

Meri dhadkan se dil...


Meri Dhadkan Se Dil Ka Dhadkna Mangoge,
Ek Din Tum Mujhse Mera Pyaar Udhar Mangoge,

Main Voh Phool Hu Jo Tere Chaman Se Na Niklega,
Apni Veeran Zindagi Ke Liye Bahar Mangoge,

Abhi Dekha Hi Kahan Hai Tumne Meri Mohabbat Ka Asar,
Tum Mujhe Ulfat Mein Apni Shamo-o- Sahar Mangoge,

Behtar Hai Waqt Se Samjhota Kar Lo,
Guzre Waqt Se Phir Kaise Apna Hisab Mangoge,

Hum Saath The To Meharba Tha Khuda Tujh par,
Ab Kisse Tum Ujale Ke Liye Charag Mangoge,

Jab Mousme Gul Bhi Tumhe Kar Dega Ruswa,
Laut Kar Tum Mujhse Guzri Bahar Mangoge..!!!

Masoom mahabbat ka bus


Masoom mohabbat ka bus itna fasana hai,
Kagaz ki haveli hai,Baarish ka zamaana hai,

Kya shart-e-mohabbat hai,Kya shart-e-zamaana hai,
Awaz bhi zakhmi hai aur Gaana bhi gaana hai,

Uss par utarne ki Umeed bahut kam hai,
Kashti bhi purani hai,Tufaan ko bhi aana hai,

Samjhe ya na samjhe wo Andaaz mohabbat ke,
Ek shaks ko aankho se Ek sher sunana hai,

Bholi si ada,Koi fir ishq ki zid par hai,
Fir aag ka dariya hai AUR doob ke jaana hai...!!!!
Doob ke jaana hai...!!!!

Man ki baate sune har...


Man ki baate sune har koi, dil ka dard na jaane koun,
Awaazo ke bazaaro mein Khamoshi pehchaane koun,

Sadiyo sadiyo wahi tamaasha rasta rasta lambi khoye,
Lekin jab hum mil jaate hai, kho jaata hai jaane koun,

Vo mera aaina hai main uski parachhai hu,
Mere hi ghar mein rahta hai, mujh jaisa hi jaane koun,

Kirat kirat halka sa suraj, palal palak khulati neendein,
Yu hi dil pighal raha hai, zarra-zarra jaane kaun..!!!

Main to ek kagazi...


Main to ek kagazi sa phool tha, ser-e-shaam khushboo se bhar gaya,
Main kaha hu mujhko khabar nahi, mujhe koun chhuu k guzar gaya,

Woh udaas ladki, bahar laye pahadiyo se zameen par,
Mere dil mein dard ka chand bhi yuhi zeena zeena utar gaya,

Yeh gulaab bhi mera aks hai, yeh sitara bhi mera naksh hai,
Main kabhi zameen main dafan hu,kabhi asmaan se guzar gaya,

Main udaas chand ka baagh hu, main gaye dino ka suraagh hu,
Meri shakh shakh jhulas gaye, mera phool phool bikhar gaya,

Woh safed pholo si ek dua mere sath sath rahi sada,
Yeh isi ka faiz hai badha main bikhar bikhar k sanwar gaya,

Mere aansoo ki kitab bhi, teri khushboo se mahek gaye,
Mera sher hai tera ainaa jahan shaam aaye sanwar gaya...!!!

Main aaina tha...


Main aaina tha, woh mera khayal rakhti thi,
Main toot-ta tha to chunkar sambhal rakhti thi,

Har ek masle ka hal nikal rakhti thi,
Zaheen thi, mujhe herat mein daal rakhti thi,

Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha,
Woh rokti thi mujhe, kal pe taal rakhti thi,

Bas ek woh thi jise zakhm main dikhata tha,
Bas ek woh thi keh jo khayal rakhti thi,

Woh mere dard ko chunnti thi apni pooron se,
Woh mere waste khud ko nidhal rakhti thi,

Woh doobne nahi deti thi dukh ke dariya mein,
Mere wajood ki naow uchaal rakhti thi,

Duain uski balaon ko rok leti thi,
Woh mere chaar soo haathon ki dhaal rakhti thi,

Ek aisi dhun ki nahi phir kabhi maine suni,
Woh munfarid sa hansi mein kamal rakhti thi...!!!